Kidney Stones Treatment in Hindi: Pathari Ki Samasya Ka Ilaj
Pani kam pine aur galat khanpan ki wajeh se pathri ka rog aajkal logo ki samasya ban chuka hai. Jab gurde ke andar chote-chote patthar yani kathor vastuo ka nirman hone lagta hai, ise hi gurde mai pathri kaha jata hai.
Samanytah vyaktiyo ke sharir mai choti-choti kai pathariya hoti hai jo ki mutra marg ke dwara sharir se bahar nikal jati hai. Lekin jab yeh pathariya badi hone lagti hai to mutra marg mai badha banne lagti hai jisse mutra marg ke aaspas asahneey dard hone lagta hai.
Sharir mai jab kisi padarth ke karan mutra gadha ho jata hai to pathri nirmit hone lagti hai. Iss padarth ki wajeh se gurde mai chote-chote dane banne lagte hai jo ki bad mai pathri ke rup mai badal jata hai. Gurde mai pathri ka karan tab pata chalta hai jab mutra tyagne mai takleef hone lagti hai.
Gurde mai pathri ke ilaj ke liye yaha padhe Kidney Stones Treatment in Hindi aur banaye apne sharir ko swasth.
Kidney Stones Treatment in Hindi: Gharelu Tariko Se Dur Kare Pathri
Kidney mai pathri hona asal mai thos namak se bana hua kathor patthar hota hai jo ki shuddhi ke bad sharir mai bach jata hai. Aur yeh thos patthar peshab ke dwara sharir se bahar nahi nikal pata hai.
Gurde ki pathri ko dur karne ke liye kai prakar se ilaj kiya jata hai. Lekin aaj ham bat kar rahe hai home remedies ki jinko apnakar pathri ko dur kiya ja sakta hai.
Bahut Pani Piye
Pani pina gurde se pathri ko dur karne ka sabse aasan aur asardari tarika hota hai. Pani hamare sharir se sabhi apshisht padartho ko peshab ke madhyam se bahar nikalne mai madad karta hai. Iss tarah sharir mai ban rahe chote-chote stone bhi sharir se bahar nikal jate hai jisse yeh stone sharir mai ikatthe nahi ho pate hai.
Anjeer Ka Sevan Kare
Anjeer ke sevan se pathari ko gurde se bahar nikalne mai madad milti hai. Iske sevan ke liye 1 cup pani mai 2 anjeer ko pakaye. Ab iss pani ko thoda der thanda hone ko rakh de. Fir iss pani ko rojana subah khali pet piye jisse gurde mai pathri jam nahi pati hai.
Nimbu aur Jetun Ka Tel
Nimbu aur jetun ke tel ka upyog khas tor par pathari ko dur karne ke liye kiya jata hai. Darahasal nimbu mai upasthit citric acid gurde mai jam rahe patthar ke chote-chote tukado ko todne mai madad karta hai, jisse yeh patthar gurde mai adhik bade nahi ho pate hai aur sharir se bahar nikal jate hai.
Iska upyog karne ke liye 4 chammach nimbu ke ras mai saman matra mai jaitun ka tel milaye aur iss mishran ko pee jaye. Iss mishran ko rojana 3 bar, 3 dino tak lene se gurde ki pathri tut jati hai aur iss samasya se nijad milta hai.
Tarbuj
Gurde ki pathri ko dur karne ka yeh ek aur sabse aasan aur asardari tarika hota hai. Tarbuj mai upasthit potassium, mutra mai acid ke leval aur uski niymitta ko banaye rakhne mai madad karta hai. Iss tarah yeh gurde se pathri ko bahar nikalne mai madad karta hai.
You May Also Like: Quinoa in Hindi – Jane Iske Labh aur Vyanjan Banane ki Vidhi
Anar
Anar ka juice aur anar ke dane dono hi gurde se pathri ko dur karne mai sahayak hote hai. Isliye rojana ek anar ya fir 1 glass anar ka juice jarur piye. Yeh remedy gurde se pathri ko todne aur use mutra ke dwara sharir se bahar nikalne mai madad karta hai.
Tamatar Bhi Hai Faydemand
Rojana subah 1 glass tamatar ka juice aur usme mila thoda sa namak, gurde se pathri ke tukado ko todne aur use bahar nikalne mai madad karta hai. Iske alava tamatar ka juice pathari ki wajeh se hone wale dard ko dur karne mai bhi madad karta hai.
Vyayam
Vyayam hamare sharir ke kai rogo ko dur karne mai sahayak hota hai. Rojana 30 minute ka vyayam sharir ki haddiyo mai calcium ke star ko bhi banaye rakhne mai sahayak hota hai. Isliye rojana 30 minute ke liye kisi bhi prakar ka vyayam avashya kare. Yeh hamare pure sharir sath hi sath hamare gurde ke swasth ke liye bhi aavashyak hota hai.
Pyaj Ka Sevan Kare
Pyaj mai kai prakar ke pathri nashak tatv hote hai. Isliye 70 gram pyaj ko acchi tarah se piskar uska ras nikal le ab iss ras ko rojana subah khali pet piye. Isse gurde mai jami pathri chote-chote tukdo ke rup mai bahar nikal jayegi.
Kidney Stones Treatment in Hindi: Anya Tarike Inhe Bhi Padhe
- Kele mai upasthit vitamin B-6, sharir mai oxalate crystal ko banne se rokta hai aur oxalic acid ko vikhandit kar deta hai. Isliye gurde mai pathri ke rog se pidit vyakti ko rojana kele ka sevan karna chahiye.
- Rojana karele ka sevan kare. Karele mai upasthit magnesium aur phosphorous, pathri ke vikas ko rokne mai sahayak hota hai.
- Gajar mai upasthit pyrophosphate aur padap acid, pathari ke banne ki prakriya ko rokne aur isme upasthit carotene, mutra marg ki diwaro ko tutne aur fatne se bachane mai madad karta hai.
- Jeere ko mishri ki chaasni ya fir shahad ke sath lene se gurde mai jami pathri ghulkar peshab ke sath sharir se bahar nikal jati hai.
Upar aapne jana Kidney Stones Treatment in Hindi. Yadi aap bhi gurde mai pathri ki samasya se pareshan hai to upar diye gaye home remedies ko apnaye aur paye iss samasya se nijad.