Kiwi Fruit Benefits: Behtar Swastha ke Liye Kiwi Khae

Aise kai pahadi phal hai jo hume swad ke lihaj se behad swasdishth lagte hai lekin unke faydo ki jankari hume nahi hoti hai. Ab kiwi phal ko hi le lo, anti ageing se lekar Diabetes tak iske itne fayde hai jinhe janane ke baad aap isse apni diet me jarur shamil karna pasand karege.

To aaiye aur Janiye Kiwi Fruit Benefits, jo dega aapko swasthya jivan:
 
You may also like: Benefits of Coconut Water – Nariyal Pani ke Swastyavardhak Fayde
 

Kiwi Fruit Benefits: Swad ek Fayde Anek

 

Lambe Samay tak Jawan Rakhta Hai

Kiwifruit me Vitamin E aur antioxidant acchi matra mai hota hai. Jo twacha ki koshikao ko lambe samay tak thik rakhte hai aur rog pratirodhi kshamta badate hai.
 

Sharir ko Repair Karta Hai

Isme Vitamin C sabse adhik matra mai hota hai jo orange ki apeksha double matra me hota hai. Yeh sharir me Iron ko sokhne me madad karta hai. Khastor par Anaemia ke upchaar me iska sevan bahut adhik faydemand hai.
 

Diabetes Par Nriyantran

Isme Glichemic Index kam matra me hota hai jisse rakt me glucose nahi badta. Iss vajah se yah Diabetes, dil ke rog aur Weight Loss me bahut faydemand hai.
 

Pregnancy me Faydemand

Pregnant mahilao ko pratidin 400-600 Microgram Folic acid ki awakshykta hoti hai. Yeh phal ek accha source hai folic acid ko gain karne ke liye. Garbh me bacche ke dimag ke vikas me iske sevan se bahut fayda mil sakta hai.
 
Kiwi Fruit Benefits
 

Eye Care

Roz 2 se 3 kiwi khane se aapke aakho ki taklifo se chutkara mil sakta hai. Isme bahut acche matra mai minerals paye jate, jisse ankhon par accha prabhav padta hai
 

Pachan Shakti Thik Karta Hai

Kiwi me mojud fibre sharir ka pachan tantra thik rakhne mai madad karta hai. Khastor par Kabj ki samasya me iska sevan karna behad faydemand hota hai.
 

Osteoporosis me Aaram

Isme Banana jitna hi Potassium paya jata hai, jo osteoporosis ke rogiyo ke liye faydemand hota hai. Yeh Bones aur Muscles ko bhi majboot karne me madad karta hai.
 

Jaruri Poshak Tatwo se Bharpur

Ise agar poshak tatwo ka powerhouse kahe to galat nai hoga. Isme 27 se bhi adhik poshak tatwa mojud hai. Ye fibre, Vitamin C aur Vitamin E aur kai types ke minerals se bharpur hai.
 

Rakt Chaap mai Sahayak

Kiwi mai ucch matra mai potassium hota hai, jo electrolytes ko banaye rakhta hai aur bade huye sodium ke prabhav ko kam karta hai. Jisse sharir mai rakt chaap niyantrit rehta hai.
 

DNA Ko Shati Se Bachaye

Ek shodh ke anusaar pata chala hai ki kiwi mai khas prakar ke antioxidant tatva hote hai jo sharir mai DNA koshikao ko oxidative dwara pahuchane wali shati se bachate hai. Iske alawa kai expert ka yeh bhi manna hai ki yeh cancer ki bimari se bachane mai bhi sahyak hota hai.
 

Bimariyo Se Dur Rakhe

Kiwi mai vitamin C bahut adhik matra mai hone ke sath antioxidant tatva hote hai jo rog prati rodhak shamata ko badane mai madad karte hai. Jisse vyakti ko bimari hone ka khatra kam ho jata hai. Iske alawa kiwi fiber yukt hoti hai jo sharir se vishakat padartho ko bahar nikalne mai madad karti hai.
 

Nutrient Quantity
Protein 1.1 g
Crabs 14.7 g
Water 83 %
Calorie 61 Calorie
Fiber 3 g

 

Health Benefits of Kiwi: Janiye Swasthavardhak Laabh

  • Cancer
  • Depression
  • Diabetes
  • Eye Health/Macular Degeneration
  • Hypertension
  • Immunity
  • Impotence
  • Physical Fitness
  • Stress Reduction
  • Weight Control

 
Health Benefits of Kiwi fruit se aapne jane dhero Swasthya se bharpur upay. To aaj se hi kiwi ko kijiye apni diet me shamil aur rahiye fit aur tandaroost.

Get more update about Kiwi Fruit Benefits from Food.

Loading...

You may also like...