Jane Namaskar Karne ka Mahatva aur Laabh
Bhartya sanskriti mai mandir mai darshan kartre samay ya kisi sammaniya vyakti se milne par humare haath khud hi namaskar mudra mai jud jate hai. Namaskar humari sanskriti ka aisa hissa hai jo sadio se humari jivan shaily se judaa hua hai. Namaskar karna samman ke saath aapke sanskar bhi dikhata hai. Iss bhav ka arth hai ki lagbhag sabhi manushya ke hraday mai ek daiviya chetna aur prakash hai jo hraday chakra mai stith hota hai.
Bhartiya sanskriti ke douran bado ko namaskar karne ke douran haath khud hi namaskar mudra mai jud jate hai. Isse aap swasth rehte hai, dil majboot banta hai, sharir ka rakt sanchar badhta hai aur aapko ek alag hi prakar ki khushi mahsoos hoti hai.
Lekin kya aap jante hai ki namaskar ka apna hi ek mahatva hai aur usse kai swasth laabh bhi hote hai. To aaiye jante hai namaskar ke aneko laabh aur iske piche ka mahatva.
You may also like:- Surya Namaskar Benefits in Hindi: Janiye Iske Fayde aur Steps
Namaskar Karne se Hone Wale Swasth Laabh
Dil mai Majbooti:-
Humare haath ke tantu mastishk ke tantuo se jude hote hai. Namaskar karte samay hatheliyo ko dabane se ya jodkar rakhne se hradaychakra aur agyachakra mai sakriyata aati hai jisse jagriti badhti hai aur jagriti se mann shant aur chitt mai prasannta aati hai. Saath hi aapka dil majboot hota hai tatha nirbhikta badhti hai.
Rakt Sanchar Badhta Hai:-
Haath jodne se sharir ke rakt sanchar badhne lagta hai. Manushya ke sharir mai sakaratmak aur nakaratmak dono tarah ke bhav hote hai. Lekin namaskar karne yani haath jodne se dono aayne ke milne se energy ka pravah hota hai jisse sharir mai sakaratmak ka samavesh adhik hota hai.
Acupressure ka Kaam Karta Hai:-
Jab aap sabhi ungliyo ke sirsh ek dusre ke sampark mai late hai aur unn par dabav padta hai. Acupressure ke karan uska sidha asar humari aankho, kaano aur dimaag par hota hai, isse hum samne wale vyakti ko lambe samay tak yaad eakh sakte hai.
Vyakti ko Vinamra Banata Hai:-
Haath jodkar namaskar karna ek manovaigyanik paddhati hai. Haath jodkar aap jor se bol nahi sakte, adhik krodh nahi kar sakte aur bhag nahi sakte. Yeh ek aisi padddhati hai jisak aap par manovaigyanik dabav rehta hai. Iss prakar namaskar karne se vyakti apne aap hi vinamra ho jata hai.
Pyar aur Sneh ko Karta Hai Ujagar:-
Namaskar ke piche chupe vaigyanik rahasya kewal kuch hi log jante hai. Namaste karte samay aap dono haato ko apne seene ke samne jodte hai, jaha par anahat sthapit hota hai. Yeh chakra pyar aur sneh ko ujagar karta hai. Isse aapke andar dusre ke prati sneh ka bhaav aata hai.
Khush Rakhta Hai:-
Aapne kabhi dekha hoga ki namaskar karne se aapko jo khushi mahsoos hoti hai wo kuch alag hi hoti hai. Namaskar karne ke baad aap khush rehte hai aur samne wale ko bhi khush dekhte hai. Isse aap dono swasth rehte hai.
Upar aapne jane namaskar karne ke bemisaal fayde. To aaj hi se apne bado ko namaskar kariye aur swasth rahiye aur swasth rakhiye.