Natural Hair Colour in Hindi: Prakratik Tariko Se Range Baal
Aaj ka yug style aur fashion se paripurn hai. Har vyakti dusro se alag aur behtar dikhna chahta hai. Aise mai aap kya karte hai apne baalo ko alag-alag chemical wale rang aur dye dwara rang deta hai. Isse yeh hota hai ki apka look different ho jata hai aur agar aaapke hair safed hai to wah bhi najar nahi aate hai.
Bajar mai milne wale color ya dye aaapke baalo ko kharab kar sakta hai. Baalo ko safed karne ke liye inka prayog na kare, nahi to yeh anya baalo ko bhi safed aur berang kar dega tatha baal jhadne lagenge.
Lekin aaj kal hair color aur dye karne ka prachalan bahut bad gaya hai. Pahle yeh majburi huwa karti tha lekin ab yeh style statement ban gaya hai. Isme mojud ammonia aur anya chemicals baalo ko samay se pahel safed karte hai aur yeh aankho ke liye bhi kafi nuksaandeh hota hai.
Lekin ab aapko ghabrane ki jarurat nahi hai, aaj hum aapko ghar par aasani se banane wale Natural Hair Colour in Hindi, jisse aaapke baalo ki rangat bhi badlegi, baal swasth bhi rehenge aur aapka kharcha bhi kuch kam hoga.
Natural Hair Colour in Hindi: Janiye Ise Banane aur Upyog Karne ki Vidhi
Natural Hair Dye in Hindi: Prakratik Padartho se Yukt
Natural Hair Dye aur color ko ped-poudho, sabjiyo aur prakrati se prapt padartho dwara banaya jata hai. Yeh samanyatah saar tatv nikalne ke shudh roop mai prayog kiya jata hai aur isme Ammonia, Resorcinol aur Phenylenediamine jaise rasayanik tatv shamil nahi hote hai. Yeh ger vishele hote hai tatha swasth aur paryavarniy khatra paida nahi karte hai. Yeh baalo ki sanrachna ko nuksan nahi pahunchata hai that baalo ki conditioning aur moisturizing karne mai sahayak hote hai. Isliye yeh adhik samay tak intemal karne ke liye upyukt hote hai.
You may also like:- Curry Leaves for Hair Growth in Hindi: Balo Ke Liye Faydemand
Kaale Baalo ke Liye
Agar aap apne baalo ko chamakdar kala aur bhure banana chahte hai to coffee aur kali chai iske liye sabse accha aur sadharan tarika hai. Iske liye coffee ya chai mai se kisi bhi ek ko acchi tarah ubal kar kaada bana lijiye aur ise kamre ke tapman par thanda kare. Ab ise baalo par lagaye aur 20 se 30 minute tak laga rahne de iske baad baalo ko pani se dho lijiye. Har saptaah iss prakriya ko apnaye.
Bhure Baalo Ke Liye
Kali chai ki pattiyo aur cherry ko milakar acchi tarah ubal le aur thanda kar le. Iss lep ko baalo mai acchi tarah 2 se 3 minute tak lagaye ya masaj kare. Iske baad ise dho le. Iss prakriya ko din mai kam se kam ek baar dohraye.
Baalo ko Chamkane ke Liye
Agar aapke baal rukhe aur bejan najar aate hai aur aap unme shine lana chahte hai to aap ek cup taja nimbu ras nikale aur usme chamomile tel milakar iss paste mishran ko apne baalo par acchi tarah lagaye aur 20 se 30 minute tak dhoop mai ise sukhaye. Iske baad isse shampoo se dho le. Saptaah mai 2 se 3 baar iss prakriya ko dohraye.
Nimbu ke Ras Se Banaye Dye
Ek spre tyyar karne ke liye ¼ cup garm pani, 1 cup nimbu aur santre ka taja ras. Inn sabhi ko milakar paste banakar ek spre bottle mai bhar lijiye. Iss mishran ko baalo par spre ki madad se lagaye.
Baalo ko icchanusar highlight karne ke liye ruyi ka prayog kar iss mishran ko lagaye. Iss paste ko acchi tarah baalo par laga lene ke baad dhoop mai baith jaye dhire-dhire aaapke baal highlight hone lagenge aur unka rang badalne lagega. Iss paste ke sukh jane par isse dhoye nahi punah paste ko baalo par lagaye aur dhoop mai baith jaye. Baalo ko rangne ke baad deep condition karne se baal mulayam aur chamak dar hote hai. Baalo ka rang badalne mai 2 se 3 hafto ka samay lag sakta hai.
Lehsun Se Bana Dye
Lehsun to sabhi gharo mai aasani se mil jata hai. Yeh bhi prakrati se prapt ek prakar ki aushdhi hai jo anek rogo mai bhi kaargar sabhit hoti hai. Hum apko bata rahe hai lehasun ki madad se balo ke liye dye banana ka tarika.
Lehsun ko adhik matra mai chil le, kyoki pisne ke baad iski matra km ho jayegi. Ab ise acchi tarah se bhun lijiye jab tak yeh kala na ho jaye. Ise piskar suti kapde ki madad se chaan le. Phir isme jetun ka tel milakar paste bana lijiye. Ise 7 din ke liye kisi bottle mai band karke rakh dijiye. Saat din baad aap iss paste ka istemal kare au rise baalo par lagaye jis prakar aap dye lagate hai, ho sake to ise shaam ke samay lagaye aur agle din subah dhoye.
Yeh Hair Dye aaapke baalo par kai samay tak rahega aur aapke baalo ko kisi bhi prakar ka nuksan nhi pahuchaega. Apne baalo ko swastha banaye rakhne ke liye apne aahar mai iron, iodine, biotin, zinc aur protein shamil kare.
Agar aap apne baalo ko ghungrala karna chahte hai to aap yehi prakriya kare. Iss paste ko banakar 30 minute ke liye chod de. Phir iss paste ko baalo ki jad mai acchi tarah lagaye aur 1 ghante tak laga rahne de. Yeh aaapke baalo ko jado se ghungrala bana dega. Adhik ghungrale baalo ke liye iss prakiya ko har saptaah prayog kare.
You may also like:- Hair Spa at Home in Hindi: Ghar Par hi Kare Baalo ki Dekhbal
Mehendi se Bani Dye (Henna Dye)
Baalo ke liye duniya ki sabse acchi dye hai mehendi. Yeh baalo ko bina kisi dushprabhav ke sath rangta hai. Isme baalo ko rangne ke sath conditioning aur sar ko saaf karne ka gun bhi paya jata hai. Aaiye jante hai henna for hair ko banana ke tarike –
- Til ke tel mai kadi patta dalkar ise acchi tarah ubal le au rise 1-2 din tak band bottle mai rakhe. Baalo mai henna kar se pahle mehendi mai iss mishran ko acchi tarah mila lijiye aur phir pure baalo mai lagakar 2 ghante ke liye chod dijiye. Baad mai ise shampoo ya shikakai se dho lijiye. Yeh baalo ko kala karne ka sabse accha tarika hai.
- Mehendi ko pani mai gholte samay isme aadha chammach coffee powder dal le. Baalo ko gada bhura rang dene ke liye bahut hi accha upay hai.
- Ek lohe ke bartan mai kapur tel garm karke isme mehendi ko milakar acchi tarah hilaye aur 1 se 2 din tak isi tarah rahne de. Ise lagane se pahle isme garm pani milaye aur phir lagaye. Isse aapke safed baalo ka rag ko kala hoga hi sath hi baal jad se majboot bhi honge.
- Chaar chammach heena powder mai avashayakata anusar chai ka pani milakar paste bana le. Apne baalo par yeh lep lagakar aadhe ghante ke liye chod dijiye aur phir dho lijiye. Adhik labh lene ke liye isme anda aur sirka bhi mila sakte hai.
- Mehendi mai chukandar ka ras milakar lagane se bhi baalo ko ek alag rang milta hai sath hi yeh ek bahut accha conditioner bhi hai.
- Chai patti ka pani, nimbu ka ras aur dahi ko mehendi mai milakar paste banaye au rise baalo par lagaye. 1 se 2 ghanto tak laga rahne ke baad ise pani se dho le. Baal sukh jane par tel lagaye aur agle din shampoo lagaye. Yeh baalo ko radish brown rang dene ka sabse behetrin upay hai.
Rasayanik dye ki tulna mai prakratik baal dye mai baalo ke rang simit jarur hote hai lekin yeh aaapke baalo ko swasth rakhte hai uar kisi bhi prakar ka nuksan nahi pahunchate hai. Uper bataye gaye prayogo ke alawa anya prayog iss prakar hai.
Mehendi aur akharoth ke chilke ka upyog baalo ko lal aur bhura rand dene ke liye kiya jata hai. Arandi ke sem aur neel ka upyog baalo ko kala rang dene ke liye kiya jata hai. Neel aur wade ka prayog nile rang ke liye tatha kesar aur chamomile ka prayog baalo ko sunhara rang dene ke liye kiya jata hai. Dye ko uble huye aalu, black coffee aur kali chai ke sath bhi banaya jata hai. Anya prabhavi dye vibhinn jadi buti ke prayog se banaye jate hai jaise mehendi, kapur ka patta, catnip, nambu, raspberry pattiya, hibiscus phul, betony, black coffee aur kali chai aadi ka bhi mahatvpurn yogdan hota hai.
Aaj humne aapko bataya Natural Hair Colour in Hindi, ab aapko chintit hone ki jarutit nahi hai. Aap bhi inn prakratik hair dye aur colors ka istemal kar apne baalo ko naya look de sakte hai sath hi safed balo se mukti bhi pa sakte hai.