Office Beauty Tips in Hindi: Working Mahilao Ke Liye

Har mahila apni jimmedariya bahut acche se nibhati hai lekin office mai kam karne wali mahilao ko dugni jimmedariyo ko nibhana padta hai aur ek hi waqt mai kai sare kaam ko karna padta hai.

Jaha par ek taraf unhe ghar ki jimeedariya hai to dusri taraf office mai kam nipatane ka tension. Office mai kam karne wali mahilaye puri tarah se apni jindagi ko niyantrit karke rakhti hai. Aajkal ki kamkaji mahilaye superman ki tarah ek hi samay mai kai sare kam ko anjam deti hai.

Office jane wali mahilao ke liye ghar aur office dono ka kaam sambhalna bahut mushkil hota hai jiske chalte wo apni sundarta par dhyan nahi de pati hai. Kyunki kaam ki vyastata ki wajah se unhe makeup karne ka jyada samay nahi mil pata hai.

Lekin yadi aap kaamkaji mahila hai to bahut jaruri hai ki aap apne khubsurti par bhi dhyan de. Jis tarah vyast hote huye bhi aap apne ghar ko swarte hai usi tarah vyast hote huye bhi aap khud ko swar sakti hai. Aaj hum aapko batane wale vyast hone ka bavjud bhi aap khud 10 se 15 minute mai kaise taiyar kar sakti hai. Iske liye jane Office Beauty Tips in Hindi.
 

Office Beauty Tips in Hindi: Kamkaji Mahilao Ke Liye Sondarya Salah

 
Office Beauty Tips in Hindi
 

Kare Face wash Ka Istemal

Sabse pehle apne chehre ko facewash se dhoye. Isse aapki chehre ki puri thakan mit jayegi aur aap fir se fresh najar aayege. Aap ise aapke purse mai bhi rakh sakti hai aur jab bhi aap chichipahat ya thakan mehsusu ho aap iska istemal kar sakti hai.

Isko halke halke hatho se chehre par lagaye aur thande pani se chehre ko dho le. Jab aap fresh najar aayenge to aap aapke kam ko bhi utne hi tajepan ke sath karte hai. Bajar mai kai tarah ke facewash hai aapki twcha ke anusaar acche brand ka facewash kharid kar istemal kar sakti hai.
 

Baalo Ko Shampoo Se Dhoye

Office mai kam karne wali mahilaye itna vyast rehti hai ki unhe baalo ko dhone ka time nahi mil pata hai jiski wajah se wo hafte mai sirf ek hi bar baal dho pati hai. Yadi aapko aapke baalo ko swasth rakhna hai to hafte mai kam se kam do baar baal jarur dhoye. Isse aapke baalo mai gandagi nahi jamegi aur baal swasth rahenge. Yadi aap hafte bhar mai baal nahi dho pati hai to sukhe shampoo ka bhi istemal kar sakti hai. Isko lagane ke liye sukhe shampoo ko hatheli mai lekar ungliyo se lagaye aisa karne se baalo ki sari gandgi avshoshit ho jayegi aur baalo mai chamak aa jayegi.

Yadi aap sukhe shampoo ka istemal nahi karna chahti hai to face powder ko thoda sa hatho mai lekar baalo mai laga le isse aapke baal chipchipe nahi lagenge aur khule khule lagenge.
 

Foundation Yukt Sunscreen

Jab bhi aap office jane ke liye taiyar hoti hai to pehle sunscreen lagati hai uske bad foundation. Lekin kai bar deri hone ki wajah se foundation ka istemal nahi kar pati hai aur dono ko lagane mai samay bhi lagta hai isliye samay bachane ke liye aap aise sunscreen ka chunav kar sakti hai jisme foundation bhi shamil ho. Jisse aapko makeup karne mai jyada samay nahi lagega. Aajkal to bajar mai aese moisturizer bhi milte hai jisme sunscreen aur foundation dono shamil hota hai aur aap inka bhi istemal kar sakte hai.
 

You may also like:- Makeup For Dark Skin Women: Sawli Mahilao ke Liye Upay

 

Mosam Ke Anusaar Kare Makeup

Makeup ek aesi kala hai jo kuch hi samay mai aapki personality ko badal deti hai. Office Makeup Tips ke anusar mosam ke anurup chuna gaya makeup chehre ko khubsurat dikhata hai. Yadi aap thandi ke dino mai makeup kar rahe hai to oil makeup kare kyuki thandi mai aapki twcha sukhi rehti hai aur oil makeup aapki twcha ko soft aur moisture karke rakhta hai. Jabki garmi ke dino mai light aur jayda oily products ka istemal na kare. Sath hi aise makeup ka chunav kare jiska asar lambe samay tak rahe.
 

Apna Pasandida Lipbam Lagaye

 Makeup ko aur jyada aasan banane ke liye bajar mai kai tarah ke products uplabdh hai. Jiska istemal kar aap khubsurat dikhkar aur aapke kimti samay ko bacha sakti hai. Aap lipstick ki jagah lipbam ko laga sakti hai. Lipstick ko lagane mai kuch samay jayda lagta hai aap kai tarah ke alag alag rang ka lipbam ki hotho par istemal kar sakti hai isse aapke honth soft aur chamakdar dono dikhenge.
 

Hairpin Par Kare Spray Ka Istemal

Aapke baalo ko roj alag alag tarah ka dikhane ke liye hairpin ka istemal to jaruu karte hai par kai bar aapke baal kuch samay bad bigad jate hai aur pure din aapka hairstyle nahi tik pata. Iske liye aap apni bobby pins par thoda sa spray karke aapke baalo mai lagaye. Isse aapki hairstyle nahi bigdegi aur pure samay aapke baal ek jaise bane rahenge aur pin aasani se aapke baalo par lag jayegi.
 
Beauty Tips for Working Women
 

Aankho Ka Makeup Aapko Banaye Khubsurat

Aankho se aapki khusurati kaAfi bad jati hai. Kyunki kehte hai dil ki baat aankho se bayan ho jati hai. Isliye aapki khubsurat aankho ki khubsurati badane ke liye kajal aur eyeliner ka istemal kare jisse aapki aankhe badi kali aur sundar dikhai degi.

Aankho ko sundar dikhane ke liye palko par color mascara bhi kar sakti hai aur jaldi se jaldi tyar hona chahti hai to pencil liner ka upyog bhi kar sakti hai. Kyuki pencil eyeliner ko lagane mai jayda samay nahi lagta hai.
 

Baby Wipe Ka Kare Istelmal

Agar aap aapke chehre ko swasth aur taja pure din dikhana chati hai to baby wipe ka istemal kar sakti hai. Iska istemal aapke chehre ki puri gandgi ko nikal dega aur aapka chehra tarotaja bana dega. Baby wipe ke istemal ke bad aapko moisturizer ki jarurat nahi padegi yeh aapki twacha ko moisture bhi pradan karta hai.
 

Baalo Ko De Curly Look

Aapke baal silki aur sidhe hai aur aapke baalo ko naya look dena chahti hai ya aapke baalo ko ghungharale karna chahti hai to baalo ko gila karke unki choti banakar guth le tatha use rat bhar rehne de aur subah uth kar baalo ko khol de aap payenge ki aapke baal ghungrale ho gaye hai.
 

You may also like:- Hairstyles for Long Hair in Hindi: Apne Baalo Ko De Naya Andaj

 

Kam Samay mai Manicure Kare

 Wese to manicure karvane ke liye aap parlour jati hai aur ghanto waha samay aur paisa dono khrach karke aate hai. Lekin aap manicure ghar par bhi bina paise kharch kiye kar sakte hai. Jab bhi aap apna chehra dhoye hatho ko bhi scrubber ki sahayata se saaf kar le aur thande pani mai hatho ko kuch der ke liye rakh le. Scrubber ka istemal karte samay use nakhun par bhi ragadle jisse nakhun acche se saaf ho jayenge.
 

Light Makeup Kare

Jitna makeup light hoga aap utni hi khubsurat dikhengi kyuki jyada makeup office mai karne se aap office ke logo ke bich charcha ka vishay ban jayegi aur unhe lagega ki aap sirf look ko lekar hi pareshan rehti hai. Jyada makeup se unhe lagega ki aapka dhyaan kaam par puri tarah se nahi rehta. Isliye hamesha halke color ki lipstick ka istemal kare.
 

Kapdo Ka Bhi Rakhe Khayal

 Jab bhi aap office jaye hamesha dhyaan rakhe aapke kade formal ho aap suit ya fir sadi ka istemal kar sakti hai ya fir trouser ke sath shirt ko pehan sakti hai. Aajkal legging kurta trend mai bhi hai aur formal bhi lagta hai yadi aap suit ko nahi pehnna chahti hai to legging kurta bhi pen sakti hai.
 

Anya Baate Inhe Bhi Janiye:

  1. Garmiyo mai tulsi ya neem wala facewash sabse upyukt hai. Isse mail to dur hota aur sath hi twacha par phode phunsi ya laal chakte bhi nahi hoge.
  2. Twacha ko saaf karne ke liye thande gulab jal se twacha ki rangat nikhariye. Isse twacha mai tajgi aur sheetalta aati hai. Aur chehre ki chamak damak bhi badh jati hai.
  3. 15 din mai ek bar facial aur scrubbing ke liye samany jarur nikale. Scrubbing se twacha ke dead cell nikal jate hai aur facial se twacha par nikhar aata hai.
  4. Hafte mai do bar face mask ka upyog kijiye. Face mask ko hontho tatha aankho ke samip ke chhetra ko chhodakar chehre par lagaiye. Jab yeh sushk ho jaye to ise dho daliye.

 
Upar aapne jana Office Beauty Tips in Hindi. Yadi aap bhi kaamkaji mahila he to upar diye gaye tariko se aap bina samay lagaye taiyar ho sakti hai.

Loading...

You may also like...