Orange Peel Face Pack in Hindi – Rakhe Aapki Twacha Ka Khayal
Yeh to sabhi jante hai ki phal twacha ke liye bahut jayada faydemand hote hai, lekin santre mai gunoki bharpur matra hoti hai. Isme vitamin C aur fiber adhik hota hai, jo sharir ko kaafi fayda pahunchate hai. Lakin santre ka chilka bhi kam gunwan nahi hota. Iske chilko mai bhi guno ki bharmar hoti hai, jo sharir ko kai tariko se fayda pahunchati hai.
Santro ke chilko mai vitamins aur khanij adhik matra mai hote hai. Isme mojud vitamins B mai vitamin B5-B6 aur folate hota hai. Jo mashtiksh sambandhit vikaro ko jaise mansik tanav, migraine aadi mai rahat pahunchata hai. Vitamin B sharir ke nerves system ko bhi majboot karta hai. Santre mai folic aml aur calcium hota he, jo twacha, haddiyo aur dimag ke liye labhdayak hota hai.
Orange Peel Face Pack in Hindi aapko bajar maine aasani se mil sakta he, lakin ho sakta hai usme kisi tarah ka rasaynik padarth mila ho isliye yahi behtar hoga ki aap santro ke chiko ko sukha kar istemal kare. Aapke face ki twacha ke kayakalp ko sudharne mai yeh aapki madad krega.
Orange Peel Face Pack in Hindi: Santre Ke Chilko Se Bana Chehre Ka Lep
Santro ke chilko ko nikalkar 2-3 din ke liye dhoop mai rakh de. Chilko ko acchi tarah sookh jane par, unhe piskar rakh le. Jarurat padne par iss santre ke powder ka istemal kare. Aaiye jante hai orange peel benefits –
You May Also Like:- Face Bleaching Benefits – Nikhare Chehre Ka Rang
- Santro ke chilko ko dahi mai milakar paste bana le, lekin dhyan rahe dono acchi tarah mix ho jaye isme koi ganth na rahe. Phir chehre ko garm pani se dho le aur iss paste ko halke hatho se pure face par lagaye. Isse 10 minute tak aise hi rahne de. Baad mai thande pani se dho le.
- Santro ke chilko mai 1 chammach nimbu ka ras aur 1 chammach shahad mila le. 20 minute ke liye isse chehre par laga rahne de. Baad mai gungune pani se dho le. Yeh lep aapke chehre ki twacha ko saaf, komal aur chamakdar bana dega.
- 3 chammach santro ke chilko ka powder, 2 chammach dahi aur 1 chammach shahad ko mila lijiye. Iss lep ko pure chehre aur kohniyo par lagaye. Isse acchi tarah sukhne de, 10-15 minute ke baad thande pani se dho le. Yeh prakriya hafte mai do baar kare.
- 3 chammach santro ke chilko ka powder, 1 chammach shahad aur nimbu ke ras ko acchi tarah mix kar le. Iss paste ko halke hatho se chehre aur kohniyo par lagaye. 20 minute baad halke gungune pani se isse dho lijiye. Yeh lep aapko teliy twacha se mukt kar dega sath hi apke chehre par ek naya nikhar dikhai dega.
- Santre ke chilko mai 2 chammach chandan powder aur thoda sa gulabjal milakar paste bana le. Phir 30 minute tak chehre aur gardan par laga kar rakhe. Baad mai thande pani se dho le. Santro ke chilko mai sirf gulabjal milakar bhi aap aisa kar sakta hai. Sath hi santre ke chilko ka paste balo ki jado mai lagane se dandruff bhi nasht ho jata hai.
- 2 chammach santre ke chilke, aadha chammach haldi powder aur 1 chammach shahad ko acchi tarah mix kar le, iss lep ko jayada patla na kare. Isse chehre par 30 minute tak rahne de. Baad mai thande pani se dho le. Yeh apke chehre ko wrinkle se mukti dilata hai.
- 2 chammach santro ke chilke, chandan powder, milk aur gulabjal acchi tarah milakar paste bana le. Iss paste ko 30 minute tak chehre par laga rahne de. Phir isse thande pani se dho le. Iss lep se aapki dry twacha ko aaram milega.
- 1 Chammach santro ka chilka aur multani mitti, 2 chammach dudh le aur inhe acchi tarah piskar paste bana le. 30 minute tak chehre par laga rahne de. Issa aap alternate day mai kare.
Upper diye gye nuskho ko aap aasani se ghar par bana kar apne chehre ki twacha ka dhyan rakh sakte hai. Orange Peel Face Pack in Hindi ka istemal aapke chehre par ek nayi chamak la sakta hai.