Paschimottanasana Benefits: Iss Asana ke Laabh aur Steps
Paschimottanasana baithkar kiya jane wala yoga hai. Yeh yoga janu sirsasana se milta julta hai. Iss yoga mai mairudand, pair, ghutno ke niche ken as aur kamar mool roop se bhaag lete hai. Yeh asana uss stithi mai bahut hi laabhprad hota hai jab sharir thaka hota hai. Aaiye jante hai Paschimottanasana Benefits aur banate hai apne sharir ko swasth aur majboot.
Paschim arthat piche ka bhaag-pith. Pith mai khichav utpann hotahai, isliye ise Paschimottanasana kehte hai. Iss asana se sharir ki sabhi mashpeshiyo par khichav padta hai. Iss asana ko avashyak asano mai se ek mana gaya hai.
Sirsasana ke baad isi asana ka mahatvapurna isthan hai. Iss asana se mairu dand lachila hota hai, jisse kundalini jagaran mai laabh hota hai. Yeh asana adhyatmik drashti se adhik mahatvapurna hai.
Paschimottanasana ke dwara sharir majboot banta hai jisse budhape mai bhi vyakti tankar chalta hai aur uski ridh ki haddi jhukti nahi hai. Yeh mairudand ke sabhi vikaar jese- pith dard, pet ke rog, yakrat rog, tilli, aanto ke rog tatha gurde ke rogo ko dur karta hai. Iske abhyas se sharir ki charbi kam hokar motapa sur hota hai tatha madhumeha ka rog bhi thik hota hai.
Yeh asana striyo ke liye bhi laabhkari hai. Iss yogasana se striyo ke youni dosh, masik dharm sambandhi vikaar tatha pradar aadi rog dur hote hai. Yeh asana garbhashay se sambandhi sharir ke snayujaal ko thik karta hai.
Paschimottanasana Benefits: Janiye Iss Yogasana ke Laabh
Aaiye jante hai Paschimottanasana Benefits. Jisko karne se aapko bahut se laabh milte hai aur aap apne sharir ko majboot bana sakte hai. Saath hi yeh asana garbhashay ki samasya ke liye bhi laabhdayak hai. To aaiye jante hai iss asana ke bare mai puri jaankari:
You may also like:- Yoga Mudra Benefits: Dhero Bimariyo Par Kabu Paiye
- Iss asana se sharir ki vayu thik roop se kaam karti hai aur adhyatmik unaati hoti hai.
- Jiss vyakti ko krodh adhik aata ho use yeh asana karna chahiye.
- Isse pure sharir mai khoon ka bahav sahi roop se hota hai. Jisse sharir ki kamjori dur hokar sfurtidayak aur hamesha swasth rehta hai.
- Yeh asana sharir mai tanav ko kam karta hai taazagi ka ahsaas dilate hai.
- Iss asana ko karne se bonapan dur hota hai.
- Pet ki charbi ko kam karta hai tatha nitambo ka motapa dur kar sudol banata hai.
- Yeh asana safed baalo ko kam karke unhe kale aur ghane banata hai.
- Yeh asana aapke swasth ke liye bahut hi laabhprad hota hai.
- Iske abhyaas se gurde ki pathri, bahumutra (Jo mukhya roop se pancreas ke karan hota hai) dur hota hai tatha yeh bavasir aadi rogo mai bhi laabhkari hai.
- Yeh asana virya dosh ko dur karta hai tatha kabj ko dur kar mal ko saaf karta hai.
Paschimottanasana Steps: Janiye Iss Yogasana ko Karne ki Steps
- Jamin par chatai ya dari bichakar iss asana ka abhyaas kare. Chatai par pith ke bal let jaye aur apne dono pairo ko failakar rakhe. Dono pairo ko aapas mai paraspar milakar rakhe tatha apne sharir ko bilkul sidha taan kar rakhe.
- Dono haato ko sar ke uppar jamin par tikaye. Apne dono haato ko upar ki aur uthate huye ek jhatke ke saath kamar ke upar ke bhaag ko utha le. Iske baad dhire-dhire aone haato se pairo ke angutho ko pakadne ki koshish kare. Aisa karte samay pairo tatha haato ko bilkul sidha rakhe.
You may also like:- Relaxing Yoga Poses ke Dwara Paiye Tanav se Mukti
- Agar aapko let kar yeh asana karne mai pareshani ho to, iss asana ko baith kar bhi kiya ja sakta hai. Yeh karte samay apni naak ko chune ki koshish kare. Iss prakar yeh kriya 1 baar puri hone ke baad 10 second tak aaram kare aur punah iss kriya ko doharaye. Iss tarah yeh asana 3 baar hi kare. Iss asana ko karte samay saans samanya roop se le aur chode.
Upar aapne jane Paschimottanasana Benefits. To agar aap bhi aisi koi samasya se grasit hai aur ghar par hi yoga ke dwara apni bimari ko thik karna chahte hai to aaj se hi iss asana ko kare aur swasth rahe.
See more details of Yogasana from Diet and Fitness.