Polio Disease in Hindi – Jane Isse Bachne aur Upchar Ke Tarike

Yeh to satya hai ki bimario ka koi ant nahi hai. Phir wo chahe baccha ho, vayask ho ya vridha ho, har koi kisi na kisi rog se grasit hota hai. Jiska mukhya karan hai badalta parivesh. Pahle ke samay mai jaha bimaria to hoti thi magar unke ilaj ke tarike samanya hote the. Aaj ke adhunik yug mai bimario se ladne ya upchar ke tarike phle se bilkul alag hai.

Ek samay tha jab baccho mai polio hona ek samanya rog ban gaya tha. Lekin aaj humara desh isse purn roop se mukt ho chuka hai. Agar WHO (World Health Organization) ke anusar, bharat ab iss rog se bilkul mukt hai. Ab humare desh ke nonihalo ko polio viklangta ka shikar hokar jivanbhar aansu bahane ki jarurat nahi padegi.

Polio ek sanktaman rog hai, jo polio vishanu se mukhya roop se chote baccho mai felta hai. Waisi to yeh bimari kisi bhi vyakti ko ho sakti hai parantu bacche iska shikar hote hai kyoki vayasko mai isse ladne ke liye pratirodhak shamta adhik hoti hai baccho mai nahi. Yeh bimari baccho ke kisi bhi ang ko zindgi bhar ke liye kamjor kar deta hai.

Ek samay tha jab yeh lailaj huya karta tha, lekin ab iski rokdham ke liye sarkar aur aamjan apna purn sahyog de rahe hai. Jiske parinaam swaroop aaj bharat isse mukt ho chukka hai. Aaiye jante hai Polio Disease in Hindi ke bare mai vistar se.

 

Polio Disease in Hindi: Janiye Iske Karan, Lakshan aur Upchar Ke Tarike

 

Polio Disease in Hindi

 

Samanya Parichay

Poliomyelitis” ko ‘Polio’ ya ‘Shishu Lakwa’ bhi kaha jata hai. Yeh ek sankraman rog hai, jo ek prakar ke virus ke sharir mai pahunchane ke karan hota hai. Yeh ek aisa sankraman hota hai jo pure sharir ke kisi bhi hisse ko prabhavit kar sakta hai, kintu adhiktar strayuo aur manspeshiyo ko bahut adhik prabhavit karta hai.

Rid ka polio sabse aam hai. Isme paksha-ghat ki visheshta yeh hai ki adhik baar isme per shamil hote hai tatha kabhi-kabhi rogi ki gambhir avastha mai mratiyu bhi ho jati hai. Bharat mai kul polio rogio mai se aadhe se adhik 1 saal se kam aayu ke navjaat bacche hote hai tatha 6 maah se 3 saal tak ke bacche bhi isse sarvadhik shikar hote hai.

Polio mukhyatah 5 varsh ki aayu tak ke baccho ko apna shikar banata hai. Yeh ek aisa virus hai jo navjaat bacche se lekar 5 saal tak ki umra ke baccho ke sharir mai pravesh kar jata hai aur unke sharir mai viklangta paida kar deta hai. Yeh ek lailaj rog hai, jiska lakwa kabhi bhi thik nahi hota hai, bachav hi iss bimari ka ekmatra upay hai.

 

You May Also Like:  ADHD in Hindi – Mashtishk Se Sambandhit Ek Vikar

 

Causes of Polio: Janiye Iske Karan

Polio ek vishanujanya (viral) rog hai. Yeh ek sankraman rog hai, jo jangali polio virus ke karan hota hai. Yeh virus sharir mai mojud sushumna naadi ke safed hisse ko prabhavit karta hai. Jaha par keval gati ko niyantran karne wali nadiyo ki koshikaye nasht ho jati hai aur yaha sujan paida ho jati hai. Iss sujan ke karan bacche ke hath-per kaam karna band kar dete hai.

Polio ka virus mukhya roop se ek vyakti se dusre vyakti mai mokhik marg dwara, tatha jin shetro mai poshan ki sthi kharan aur shochalayo ki kami hoti hai, vaha polio se grasit bacche ke mal se yeh virus swasth baccho ke much tak pahunch jate hai. Yeh virus pine ke pani aur khadya padartho par makkhiyo dwara, gande hatho dwara pahunch kar anya baccho ko iss rog se prabhavit kar dete hai. Sath hi yeh khansi aur chinkh ke dwara bhi fal sakta hai.

Yeh virus naak aur muh ke dwara sharir ke andar pravesh karta hai. Jo dhire-dhire aanto ki taraf badta hai aur vaha se aanto ki koshikao mai pravesh kar hajaro ki sankhya mai aur naye virus ke anuo ko janm de deta hai. Phir yeh manav mal ke sath bahar aate rahte hai aur yeh kram chalta rahta hai. Garbhvati mahilao ko yadi uchit protein yukt bhojan ka sevan na kare tab bhi bacche ko polio ho sakta hai. Jab iska sankraman hota hai to 5 se 10 persent logo mai hi iske lakshan najar dikhai dete hai. Adhiktar rogi halke bukhar, gale kharash, pet dard aur ulti se pidit hote hai. Yeh sabhi Causes of Polio hai, jinhe samjha kar iss rog se bacha ja sakta hai.

 

Polio Symptoms: Iske Lakshan

Aaiye jante hai Polio Symptoms ke bare mai vistar se. Polio virus se sankramit 95 pratishat se adhik logo mai iske lakshan dikhai nahi dete hai. Lekin yeh log isse sankramit hote hai, kintu polio ke samanya lakshan nahi hote hai arthat isse pidit vyakti bimag nahi malum nahi padta hai. Ek addhyan ke anusar, isme bimai aur lakve ke bich ka anupat 1000 mai 1 hota hai. Jis vyakti mai iske lakshan viksit hote hai unn lakshano ko teen samuho mai bata ja sakta hai-

  1. Laghu Polio
  2. Sadan Wali Meningitis
  3. Pakshaghat ki Poliomyelitis

 

Polio Treatment: Iski Rokdhan Ke Tarike

Iss bhayanak rog ki rokdham ka sabse accha tarika hai polio ke virudh tikakaran. Polio tika-karan maim uh dwara baccho ko polio ki dawa pilakar ya injection lagakar kiya jata hai. Polio ki dawa ek prabhavi aur aasan upay hai. Navjaat shishuo ko polio vaccine ke tike lagwaye. Jaha tak sambhav ho sake, chikitsak ki salah se samay sarani ke anusar iska tika jarur lagaye.

 

Polio Treatment

 

Bharat sarkar dwara WHO ki madad se har varsh 5 varsh ki aayu tak ke baccho ko polio ki dawa pilane ke liye abhyaan bhi chalaye ja rahe hai. Taki har baccha swastha rahe aur rashtra ke vicar mai sampurn yogdan de sake.

Polio ki Dawa Kab Pilaye-

  1. Janm ke samay par
  2. 6 Saptah baad.
  3. 10 Saptah baad
  4. 14 Saptah baad
  5. 1 ya 1 ½ saal par

 

You May Also Like:  Zika Virus in Hindi – Janiye Iske Prabhav, Lakshan aur Upchar

 

Jo bhi bacche asptaal mai janm lete hai unhe iski dawa waha par hi pila di jati hai, lekin gaav mai suvidha na hone par bhi bacche ko aaspas ke kisi nursing hone ya asptal lejar iski teeno khurak jarur pilani chahiye. Iake alawa 5 varsh tak ke sabhi baccho ko bhi iski khurak avashya dena chahiye.

  1. Inn sabhi ke alawa, vyaktigat swachta banaye rakhna bhi bahut hi jaruri hai arthat shoch ke baad acchi tarah se waha safai kare aur acche se hath doye. Bhojan se pahel bhi haatho ko doye.
  2. Agar aap swimming pool mai terte hai to bhi apko dhayn rakhna chahiye ki pani ganda na ho sath hi pani chlorine yukt hona chahiye.
  3. Bhojan acchi tarah pakaya huya tatha taja aur garm hona chahiye. Yadi aap khana kuch der baad bhi khaye to dhyan rakhe ki khana kharab to nahi huya hai uske baad hi iska sevan kare. Isle alawa bhojan ko khule sthan par na rakhe taki makki uss par na pad paye.

Sarkar aur swasth Kendra dwara baccho ka muft tikakaran kiya jata hai. Sabhi rajyo ki sarkaro dwara ek nishchit din aur samay aur sthan tay kiya jata hai. Jiska prachar pahle se hi sarkaro dwara kiya ja chukka hota hai. Baccho ke tikakaran ke sambandh mai sabhi gavo aur shahro mai har maah nishulk camp bhi lagaye jate hai.

Har varsh 24 October ko “World Polio Day” ke roop mai banaya jata hai, kyoki iss maah mai polio vaccine ke janak Dr. Jonas Salk ka janm huya tha, jinko shradhanjali dene ke liye iss din ko world polio day ke liye chuna gaya. Unke iss dawa ke jariye hi aaj hum iss mukam par pahuche hai, ki aaj bharat mai ek bhi baccha iss bhayanak rog se pidit nahi hai. Iske bavjood bhi aane wale nonihalo ko iss rog se bachane ke liye iski dawa pilai jati hai.

Sarkar aur swasth Kendra apna kaam bakhubi kar rahe hai, lekin iss rog ki rokdham ke liye hum aam logo ko bhi isme bhagidar hona padega tabhi hum aage ki pidiyo ko iss rog se bacha sakte hai. Hum kuch aise samanya kaam kare jinse iss prakar ke sankraman rog aur virus na fel sake aur iss tarah ki bimario se aasani se bacha ja sake.

Aap aur hum milkar wo sab kuch kar sakte hai, jinse apne baccho ko aphij hone se bacha sake. Ab yeh jimmedari hume uthani hogi kyoki sarkar sirf aur sirf abhiyaan chala sakti hai, ghar-ghar aakar apke baccho ko dawa pila sakti hai, lekin yeh rog tab tak bana rahega jab tak hum apne aas-pas ke sthano ko saaf nahi rakhenge. Swachta bahut hi avashyak hai yeh sirf polio hi nahi iske jaisi anek bimario aur rogo ka karan banti hai. Agar aap bhi rashtra ko aage badte aur rog muky dekhta chahte hai to aap bhi sankalp le aur behtar desh banana mai sahyog kare.

Aaj humne aapko Polio Disease in Hindi, ke bare mai sampurn jankari di hai. Ab aapki bari hai, iske lakshano aur karano ko samjhe aur isse bachane ke liye iske tike aur dawao ka istemal jarur kare.

Loading...

You may also like...