Pregnancy Tips in Hindi: मां और बच्चे को स्वस्थ रखें
Pregnancy Tips in Hindi – Maa banana har lady ki life ka sabse bada sapna hota hai. Har aurat chahti hai ki wo ek swasth bacche ko janm de. Iske liye mahila ko pregnancy ke time apna bahut dhyan rakhna chahiye. Pregnant lady ko proper information hona chahiye ki iss time mai unhe kya karna chahiye or kin-kin baato ka dhyan rakhna chahiye.
Pregnancy ke time mai sahi jankari ka hona bahut jaruri hai. To aaiye hum jane ki iss time mai kin baato ko apni life mai follow karna chahiye or kin baato se dur rahna chahiye.
Pregnancy Tips in Hindi: Aasan Tarike Swasth Pregnancy ke Liye
Hari Sabji or Phalo ka Sevan Kare
Hari sabji or phalo ka sevan karna chahiye or spouted food bhi breakfast mai shamil karna chaiye. Tali-gali chijo ka avoid karna chahiye. Phalo ko khane ke ek ghante pehle use pani mai daal de aur acchi tarah saaf karke khaye.
You may also like:- Pregnancy Care Tips in Hindi: Maa aur Bacche ki Dekhbhaal
Doctor’s Treatment
Pregnancy ke starting week mai garbh ka vikas janane ke liye doctor ki salah lete rahna chahiye. Har month doctor ke pass jaye or sahi treatment le. Taki aap swasth reh sake.
Sone ka Tarika
Iss time mai sone ka bhi bahut dhyan rakhna chaiye. Sote samay apni position bhi bar-bar change karna chahiye aur neend puri karni chahiye taki aap tension free rahe.
Exercise
Pregnant Lady ko apni diet ke saath-saath exercise ka bhi dhyan rakhna chahiye aur dhyan rahe ki exercise hamesha doctor ke according hi kare, apne mann se kuch bhi na kare.
Khane ka Tarika
Apni diet proper samay-samay par le or iss baat ka vishesh roop se dhyan rakhe ki ek saath jyada na khaye. Apne aahar ko balance rakhe aur swasth rahe.
Vaccination
Iss time mai lady ko vaccination ka proper treatment lete rehna chahiye.
Pregnanacy Tips Mai Aahar ki Mukhya Bhumika Hai
Har mahila ki iccha hoti hai ki, wah ek swasth bacche ko janm de. Iss iccha ko pura karne ke liye garbhavastha mai poshan se bharpur aahar ka sevan paryapt matra mai karna behad jaruri hai. Garbhavastha ka vikaas ke sahi aahar par nirbhar hota hai. Garbhavati mahilao ko aisa aahar karna chahiye jo unke shishu ke poshan ki jarurat ko pura kar sake.
Samanya Mahilao ko pratidin 2100 calories ka sevan karna chahiye. Food and nitration board ke anusar garbhavati mahila ko aahar ke dwara 300 calories atirikt chahiye. Yani samanya mahilao ki comparison mai garbhavati ko 2400 calories ki jarurat hoti hai.
Pregnancy Tips in Hindi ki baat kare to hum bol sakte hai ki aahar garbhavastha ke liya mukhya bhumika nibhata hai. Isliye pregnant lady ko niche bataye gaye aahar ka sevan jarur karna chahiye.
Protein
- Garbhavati mahilao ko aahar mai pratidin 60 se 70 gm protein milna chahiye.
- Garbhavati mahilao ke garbhashaya, istano ke vikaas aur vraddhi ke liye protein ek important tatva hai. Antim 6 mahine ke douran karib 1 kilogram protein ki jarurat hoti hai.
- Protein yukt aahar mai dudh aur dudh se bane vyanjan jese mungfali, paneer, cheese, kaju, badam, meat, ande aadi aate hai.
You may also like:- Pregnancy Diet in Hindi: Garbhavastha Mai Sahi Aahar
Calcium
- Garbhavati mahilao ko aahar mai rojana 1500 se 1600 kilogram calcium milna chahiye.
- Garbhavati mahilao aur shishu ke swasth aur majboot haddiyo ke liye is calcium ki jarurat hoti hai.
- Calcuim yukt aahar mai dudh aur dudh se bane vyanjan jese butter, cheese, fenugreek, beets, figs, grapes, watermelon, sesame, urad daal, millet, meat aadi aate hai.
Folic Acid
- 3 mahine pregnant mahilao ko rojana 4 gram folic acid lena chahiye. Jabki pregnancy ke second aur third month mai 6 gram folic acid lene ki jarurat hoti hai.
- Paryapt matra mai folic acid lene se janm dosh khatam ho jate hai. Iss tatva ke sevan se ulti par rok lag jati hai.
- Aapko Folic Acid ka sevan tab se kar lena chahiye jab se aapne maa banane ka mann bana liya ho.
- Folic acid yukt aahar mai lentils, beans, spinach, peas, corn, green mustard, okra, soybeans, chickpea, strawberries, banana, anns, oranges, daliya, whole grain flour, bread flour aadi aate hai.
Pani
- Pregnant lady ko ya koi bhi vyakti ho pani unke sharir ke liye bahut jaruri hota hai. Garbhavati mahilao ko apne sharir ki badti hui jarurato ko pura karne ke liye rojana kam se kam 3 liter pani pina chahiye.
- Hamesha dhyan rahe ki aap saaf aur surakshit pani piye. Bahar jate samay saaf pani saath rakhe.
Vitamin
- Pregnancy ke douran Vitamin ki jarurat bad jati hai.
- Aahar aisa hona chahiye ki jo adhik matra calories tatha uchit matra mai protein ke saath vitamins ki jarurat ki purti kar sake.
- Vitamin yukt aahar mai doodh, hari sabji aadi aate hai.
Garbhavati Mahilao ke Liye Pregnancy Tips in Hindi Video
Pregnancy Tips in Hindi: Pregnancy ke Important Precaution
- Pregnancy Tips in Hindi: Pregnancy ke time mai sabse jyada dhyan rakhne wali baat hai, sex relation. To sex process continue karne ke bare mai apne doctor ki salah jarur le.
- Bina dhule phalo ko na khaye kyo ki unpar rasayna ki parat hoti hai jo bahut khatarnak sabit ho sakti hai.
- Pregnancy ke starting ke dino mai papita na khaye lekin last month mai pakaka huya papita kha sakte hai.
- Angur ka sevan bhi last three month mai nahi karna chahiye kyoki angur garam hote hai or jyada angur khane se bleeding start ho sakti hai.
- Pineapple ka sevan bhi bahut hanikarak hota hai. Iss time mai iska sevan nahi karna chahiye.
- Working lady dhyan rakhe ki office mai jyada der tak na baithe. Apne mind ko tension free rakhe.
- Jyada tight kapde na pahne or high hill ko avoid kre. Sath hi koi bhi heavy exercise na kare.