How to Quit Smoking in Hindi: Dhumrapan Chhodne Ke Upay
Ham sabhi iss bat se bhalibhati parichit hai ki dhumrapan karna sehat ki dhristi se accha nahi hai. Dhumrapan karne ke kai tarah ke khatre hote hai. Dhumrapan karne se cancer aur saans ki bimariya hoti hai. Yaha tak isse aapka DNA bhi shatigrast ho sakta hai. Iske alawa iske aur bhi kai anginat nuksan hai.
Hamne abhi dekha ki dhumrapan karne ke itne nuksan hai to kyo ise karke ham apne sharir ko kharab kar rahe hai. Jaha ek taraf ise karne ke keval nuksan hi nuksan hai wahi dusri aur ise chodne ke fayde hi fayde hai.
Aapko shayad jankar yakin nahi hoga lekin aap jis din se dhumrapan karna chodte hai, aapki sehat par sakaratmak asar usi din se najar aane lagta hai. Kuch sodho ki mane to yeh aapki jindagi ke din bhi bada deta hai. Sehat par iska tatkal hi asar dekhne ko milta hai. Darahsal jab ham dhumrapan chodte hai to hamare sharir se nikotin aur carbon mono oxide ka asar ghatne lagta hai.
Lekin yeh koi jadu nahi hai ki aapko 1 hi ghante mai yeh sharie se hat jaye. Sharir se iska prabhav khatam hone mai takriban 2 din ke aaspas ka wakt lagta hai. Yaha iss lekh mai ham aapko How to Quit Smoking in Hindi aur isse milne wale faydo ke bare mai batayenge.
Jane Benefits of Quitting Smoking aur Paye Behtar Swasth
Yeh jyadatar logo mai dekha gaya hai ki agar unhe kisi kaam ko karne ka laskh banane ko kaha jaye to wo do se 4 din tak ise karte hai fir chhod dete hai. Lekin jab kisi ko uss kaam ko karne se hone wale faydo ke bare mai bataya jaye to wo motivated hokar uss kaam ko bahut hi dil lagakar karte hai. Isliye iss lekh mai ham bhi aapko smoking ko quit karne ke tariko se pehle uss se milne wale faydo ke bare mai batana chahenge. To aaiye jane iske faydo ke bare mai.
Vajan Ko Niyantrit Rakhe
Hamne hamesha se yeh dekha hai ki jo log dhumrapan karte hai. Unka sharir behad hi dubla hota hai. Lekin jab vyakti dhumrapan chodta hai to uska wajan badh jata hai. Uska sharir samanya logo ki tarah bharne lagta hai. Darahsal kuch logo par kiye gaye adhyan mai yeh dekha gaya hai ki dhumrapan chodne par unn logo mai bhook lagne ki tadat badh gayi. Jiske chalte pehle do hafto mai 2 se 4 pound wahi aane wale 4-5 mahino mai 7 pound tak wajan badh jata hai.
Garbhavati Mahilaye Bhi Dhumrapan Chhode
Jin aurto ko dhumrapan karne ki aadat hoti hai. Wo jab garbhavati hai uss wakt bhi apna dhumrapan karna jari rakhti hai. Natijant iska asar uske hone wale bachhe par padta hai. Yadi wo dhumrapan karna chodti hai to unhe kam vajan ke baccho ko janm dene ka khatra ghat jata hai. Isliye I Want to Quit Smoking ka lakshya jarur banaye.
Anek Khatarnak Bimariyo se Bachaye
Dhumrapan karne se hriday sambandhi bimariyo ka khatra rehta hai. Isliye jo log dhumrapan chhod dete hai unme isme teji se giravat aati hai. Isse chodne se fefdo ke cancer hone ke khatre ko kai had tak tala jaa sakta hai.
You May Also Like:- Symptoms of Cardiovascular Disease: Hriday Rog Ke Lakshan
Quit Smoking in Hindi: Acchi Sehat ke liye Dhumrapan Chhode
Agar aapne dhumrapan chodne ka nischay kar hi liya hai. To sabse pehle aapko swayam par vishvas rakhna hoga. Aapko himmat dikhani hogi ki aap ise chhod sakte hai. Iske liye isse hone wale nuksano ke bare mai soche ki yadi aapko koi bimari ho jaye to aapke parivar ka khayal kon rakhega.
- Yadi aap dhumrapan chodte hai aapko sehat ke fayde milenge iske to koi shak nahi. Sath hi isse aapke paise bhi bachenge. Iss bache hue paiso se aap kuch manorajan kare. Isse aapko accha lagega aur madad milegi.
- Jab bhi aapki cigarette pine ki iccha ho dalchini chabaye. Quit Smoking Tips ke anusar Nikotin ki aadat chodne ke liye dalchini sabse saral aur sasta gharelu upay hai. Iske alawa jab bhi aapko cigarette ki yad aaye apne muh ko vyast rakhne ke liye aap sugar free candy ka istemaal bhi kar sakte hai. Cigarette ko dhire dhire chodne mai yeh aapki acchi madad karegi.
- Dhumrapan chhodne ke liye aap apne kisi dost ki madad bhi le sakte hai. Aap use keh sakte hai ki jab bhi aap dhumrapan kare to uske badle mai wo aapse paise le. Bar bar dand ke bhugtan ke dar se aap iss aadat ko jaldi hi chhod dalenge.
- Aapke aaspas rehne wale log yadi cigarette pite hai to aapke liye ise chodna behad muskil ho jayega. Iske liye iss wakt aapko aese dosto aur aesa vatavaran chunne ki jarurat hai jo dhumrapan nahi karte hai. Isse aapko apni buri aadat ko chhodne mai bahut madad milegi.
Benefits of Quitting Smoking kai hai. Dhumrapan kisi bhi aayu mai choda jaye us se aapke jivan ke din badhte hi hai. Isliye jald hi ise koi gambhir bimari hone ke pehle chhodne ka prayas kare.