Bile Duct Cancer Symptoms: Iss Bimari Ke Mukhya Lakshan

Hamare sharir mai bhojan pachan tantra ki sahayta se pachta hai. Lekin jab iss pachan tantra mai kosikao ki gadbadi ke karan koi bhi pareshani ho to yeh pet dard, sahi tarah se pachan na hona aur cancer jaisi durlabh bimari ka karan ban sakta hai.

Pachan tantra Liver(Jigar) ke tarat sharir ke dahine bhag par sthit ek nashpati ke aakar ka hota hai. Liver sharir ke vasa ke liye aavashyak hota hai jo ki pitta ko banane mai sahayak hota hai. Fir yeh pitta, piitashay nail ke dwara, chhoti aant mai sthit pittashay ki theli mai jakar jama ho jata hai, jo ki vasa ke pachan mai sahayak hota hai.

Bile duct cancer( cholangiocarcinoma), cancer ka ek prakar hota hai jo ki pitta nali mai hota hai. Yeh cancer mukhya rup se 65 saal se adhik umra ke vyaktiyo mai dekhane ko milta hai. Pareshani ki bat to yeh hai ki iss cancer ke lakshan shuruwati tour mai dikhai nahi dete hai, balki jab yeh cancer purna roop se ghatak bimari ka rup le leta hai tab iska sahi tarah se pata chal pata hai. Isse bachne ke liye aaiye jane Bile Duct Cancer Symptoms, taki iski shuruwat mai iska illaj kar sake.

Bile Duct Cancer Symptoms: Pitta Nali Ke Cancer Ke Lakshan

Bile Duct Cancer Symptoms

Pitta nali ke cancer se grasit marijo mai kai prakar ke lakshan dekhne ko milte hai. Jaise ki isse grasit marijo ka vajan had se jyada kam hota hai. Iske aur adhik lakshan janne le liye yaha padhe Bile Duct Cancer Symptoms.

Gehre aur Peele Rang Ki Pesab

Pitta nali ke cancer se grasit marij ka mutra gehra aur pile rang ka hota hai. Yeh rang khun mai bilirubin ke level ke badhane ke karan hota hai.

Twacha Mai Khujali Hona

Vyakti ke sharir mai bilirubin ka level badhane ki wajeh se twacha mai khujali hone ke lakshan dikhayi dene lagte hai.

Piliya(Jaundice)

Iss cancer se pidit vyakti ki ki twacha ka rang pila padh jata hai. Sath hi iss cancer ki wajah se pitta ko , chhoti aant mai jane aur uske pravah mai baadha hoti hai. Bile Duct Cancer sharir ke rakt ko uttako tak jane mai bhi badhak banta hai.

Pet Mai Sujan aur Dard Rehna

Iss cancer mai koshikaye sahi tarah se kam karna band kar deti hai, jisse pet mai aur shair mai sujan bani rehti hai. Sath hi pet mai hamesha dard bana rehta hai.

Matli aur Bukhar Rehna

Liver aur sharir ke khun mai bilirubin ke level ke badhne aur sankraman ki wajeh se pitta nali mai rukavat hona, bukhar aur matli aana jaisi samasyae hoti hai.

Thakan aur Kamjori

Iss cancer se grasit marij ka vajan bahut kam ho jata hai, sath hi use kisi bhi kam ko karne par bahut jaldi thakan aur kamjori mehsus hone lagti hai.

You May Also Like:- Anal Cancer Symptoms – Upchar ke liye Lakshan Pehchane

Pitta ki nali mai cancer ho jane par uske charno ko pehchanne ke liye kai prakar ki jaanch ki jata hai.

  1. Ultrasound scan
  2. CT (computerized tomography) scan
  3. Spiral CT scan
  4. MRI (magnetic resonance imaging) scan
  5. ERCP (endoscopic retrograde cholangiopancreatography)
  6. Angiogram
  7. Biopsy
  8. Laparotomy

Yeh cancer sharir ki rakdhara (bloodstream) aur lasika pranali (lymphatic) mai failne lagta hai. lasika pranali sharir ko kai bimariyo aur sankraman se bachane mai madad karti hai. Pitta nali ke cancer ke kai charan hote hai.

Stages of Bile Duct Cancer – Iske Mukhya Charan

Stage 1A: Iss charan mai cancer pitta nali ke bhitar hi rehta hai.

Stage 1B: Iss charan mai cancer pitta nali ki sabhi diwaro tak fail jata hai. Lekin aaspas ke lymph nodes aur anya sanrachnao tak nahi pahuch pata hai.

Stage 2A: Cancer sharir ke liver, annashay, pittashay aur uske aaspas ki rakt vahikao tak fail jata hai. Lekin lymph nodes tak nahi pahuch pata.

Stage 2B: Iss charan mai cancer lymph nodes tak pahuch jata hai.

Stage 3: Cancer mukhya rakt vahikao tak pahuch jata hai. Yeh rakt vahikaye rakt ko liver se lekar sabhi koshikao, pet ki diwar, chhoti aant aur badi aant tak pahuchata hai. Jisse pet ka lymph nodes bhi prabhavit ho jata hai.

Stage 4: Iss stage mai cancer sharir ke durasth bhago yani lung tak pahuch jata hai.

Vyakti mai iss cancer ke charan aur lakshan dekhkar vyakti ka illaj kiya jata hai. Bile Duct Cancer Treatment mai aaiye jane iske upchar ke bare mai.

  1. Surgery
  2. Stent insertion
  3. Radiotherapy
  4. Chemotherapy
  5. Chemoradiation
  6. Photodynamic therapy (PDT)

Upar aapne jana Bile Duct Cancer Symptoms. Yadi aapko upar diye gaye lakshan dikhai dete hai, aur kisi tarah ki shararik pareshani hai to chikitsak ki salah jarur le.

Loading...

You may also like...