Tongue Problems: Jibh se Judi Kuch Aam Samasya

Humare muh mai takriban 10 hazar swad nalikaye (Taste Buds) hoti hai, jinme se adhikansh chhote-chhote ubharo ke roop mai jibh par aur baki jagah par moujud hoti hai. Taste Bud jibh ke alag-alag hisso mai har swad ke liye alag-alag hoti hai. To aaiye aaj jante hai Tongue Problems ke bare mai jaruri jaankari.

Khare aur mithe ki taste buds jibh ke aage ke bhaag mai, khatte ki taste buds jibh ke dono kinaro par aur kadwe ki taste buds jibh ke piche bhag mai hoti hai.

Jab hum apne muh mai nivala rakhte hai to usme moujud rasayan taste buds ko cheta dete hai aur swad ka sandesh tantrikao ke dwara dima tak pahuchata hai.

Samanyator par ladkiyo mai ladke ki apeksha taste buds adhik hoti hai. Lekin jibh ke bare mai itna jaan lena kafi hi nahi hai. Aapko jankar shayad thodi hairat hogi ki aapki jibh na sirf swad ka pata lagati hai balki aapki sehat ki bhi jankari batati hai.

Yadi jibh swasth na ho to sehat ke liye yeh hanikarak ho sakta hai. To aaiye jante hai jibh mai hone wali aam samasya aur unke karan kya hai aur yeh swasth ke liye kya sanket deti hai.

Chini chikitsak aur naturopathy ke anusar jibh ka sambandh sharir ke kai hisso se hota hai aur jibh ke rang, twacha aur name ke aadhar par sawsthya ka pata lagana sambhav hota hai. Yadi karan hai ki doctor ke paas jane par wah bhi sabse pehle torch se aapki jibh jarur check karta hai, kyuki iss tarah kai bade lakshano ko pakda ja sakta hai.

Tongue Problems: Jibh se Judi Kuch Aam Samasya

Aaiye jante hai Tongue Problems ke bare mai jaruri jaankari. Yeh aapke liye bahut faydemand hai. Agar aap bhi inme se koi bhi pareshani se pidit hai to turant doctor se sampark kare aur Tongue ki samasya se dur rahe:

Tongue Problems in Hindi
1) Jibh Sukhna:
  • Aksar jibh par sukhapan mahsoos hona dehydration aur salivary gland ke disorder ke karan hota hai. Yadi aapko jibh par sukhapan ya khichav mai se koi bhi lakshan mahsoos ho, to aap turant doctor sampark kare.
  • Sahi samay par lakshano ke pakde jane par iska upchar kar kai swasth samasyaye ko hone se roka ja sakta hai ya dur kiya ja sakta hai.
2) Safed Coating Hona:
  • Yadi jibh par safed rang ki patli parat dikhai de to sehat ke liye koi samasya nahi hoti hai, lekin yadi yeh parat moti ho aur iska rang gadha bho yeh bacterial sankraman ka sanket bhi ho sakti hai.
  • Chini chikitsak paddhati ke anusar aisa pachan tantra mai gadbadi ke karan ho sakta hai. Aise mai bhi aap doctor se salah jarur le. Taki aapko apni iss pareshani ki wajah pata chal sake.

You may also like:- Home Remedies for Tonsillitis: Tonsils Problem ko Dur Kare

3) Chaale (Sore) Hona:
  • Jibh par chhote dard bhare chaale hona yun to ek aam samasya hai. Iske piche tanav, chinta aur hormone mai ho rahe badlav karan ho sakte hai.
  • Halaki yeh kisi khaas bimari ke lakshan nahi hote aur kuch hi dino mai thik bhi ho jate hai, lekin kuch khaas prakar ke chaale sharir mai allergy reaction, virus infection aur immune disorder ka sanket hote hai.
  • To yadi jibh mai ek aur se dard bad raha hai to aap apne doctor se jarur sampark kare. Yeh cancer ka lakshan bhi ho sakta hai.
4) Rang Badalna:
  • Halki pili aur sapat jibh sharir mai iron ki kami ki aur ishara karti hai. Wahi sapat laal jibh bhojan mai niacin ki kami ke sanket deti hai.
  • Yadi jibh strawberry color ki ho jaye to iska arth hai ki aapko starlet fever ho sakta hai. Jibh par safed dhabbe bukhar, dehydration, oral candidiasis, syphilis ya smoke karne walo mai leukoplakia ke lakshan ho sakte hai.
  • Wahi jibh ke sujan aur laal hone ki stithi ko glaucocystis kehte hai, jo bacteria ya viral infection ki wajah se ho sakta hai. Yeh infection muh ki thik prakar safai na rakhne, jibh mai ched karwane ya masalo, alcohol aur tobacco ke adhik sevan ki wajah se hota hai.

Upar aapne jane Tongue Problems se judi khaas samasya ke bare mai jaruri jaankari. To agar aap bhi aisi koi samasya se grasit hai to aaj hi apne doctor se sampark kare aur jibh ki iss samasya se nijaat paiye.

Jibh se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...