Types of Tea in Hindi: Janiye Chai Ke Prakar aur Inke Fayde

Ham mai se adhiktar log apne din ki shuruwat ek cup chai ke sath karte hai. Kuch log to din mai 2-3 baar bhi chai pee lete hai. Chai ek bahut hi swadisht pey hai. Jo logo ko bahut pasand aata hai. Chai pine ke baad aapki thakan dur ho jati hai aur aap energetic mehsus karte hai.

Kuch logo ka sochna hota hai ki chai sehat ke liye acchi nahi hoti hai. Isliye chai faydemand hai ya nahi is baat ki charcha ka vishay aksar sunne ko milta hai. Ham aapko batana chahte hai ki chai pine ke koi nuksan nahi hai lekin tab tak jab aap iska sevan santulit matra mai kar rahe ho. Aniyamit matra  mai ise pine se aapke sehat ko nuksan pahuchta hai wahi ise yadi satulit karte huye piye to aapke sehat ko fayde hi fayde hai.

Chai mai kuch aise tatv hote hai jo aapke swasth ke liye bahut jaruri hai. Chai pine se aapko urja aur tajgi ka anubhav hota hai. Pratidin 1 cup chai aapko hriday rog, gathiya rog, yaha tak ki cancer se bhi bachane mai sahayak hai.

Aapne shayad roj dudh wali sadharan chai pee hogi lekin kya aap jante hai ki chai ke bhi alag alag prakar hai. Alag Alag prakar ki chai pine se swasth ko alag alag fayde milte hai. To aaiye jane Types of Tea in Hindi.

Types of Tea in Hindi: Swad aur Sehat Ki Chuski

Types of Tea in Hindi

Chai ki khoj 1815 mai kuch angrej yatriyo ne ki thi. Unhone dekha ki kuch sthaniya kabile log chai ki pattiyo ka pey pee rahe hai. 1834 mai bharat ke governor lord Bentinck ne pure bharat mai isko pahuchane tatha uska utpadan badane ke liye ek samiti ka gathan kiya. Tatha 1835 mai asam mai chai ke bagano ko lagaya gaya.

Chai ka utpadan china aur bharat mai sabse jayda hota hai. Dheere dheere chai puri duniya mai lokpriya ho gai hai. Chai ka ek poudha hota hai. Jiski pattiyo ko pani me ubalkar piya jata hai. Pehle chai keval ek hi prakar se banai jati thi lekin aajkal ise kai tarah se banaya jane laga hai. Jante hai iske prakaro ke bare mai.

Green Tea

Green Tea apne faydo ko lekar itni adhik famous hai ki hame aapko iska introduction dene ki jarurat to nahi hogi. Benefits of Green Tea kai hai. Green tea yane ki hari chai Camellia Sinensis ki pattiyo se banai jati hai. Iss chai ko bina doodh ke banaya jata hai. Yeh sharir ke liye bahut faydemand hoti hai.

Green Tea mai flavonoids paye jate hai jo sharir ke metabolism ko badate hai. Green tea mai antioxidant ki bhi acchi matra hoti hai. Iska sevan sharir se charbi ko kam karta hai. Isme 70 calorie ko kam karne ki shamata hoti hai.

Raspberry Tea

Raspberry tea ek herbal chai hai. Ise pine ke kai fayde hai lekin garbhavati mahilao ko isse bahut fayda milta hai. Raspbeery ki pattiya me kai jadi butiyo ke gun hote hai. Garbhvati mahila ko iski chai rojana pilane se uska garbhashya ki manspeshiya majbut banti hai tatha prasav ke douran garbhashay adhik kushal ho jata hai. Lekin garbhvati mahila iska sevan karne se pehle doctor ka paramarsh ek bar jarur le.

Yadi aapko dast ho gaya hai to raspbeery pattiyo ki chai pine se fayda milta hai. Kyuki raspberry mai cassel tannins adhik matra mai paya jata hai.  Raspberry ke pattiyo ki chai tab tak piye jab tak dast ke lakshan puri tarah samapat na ho jaye.

Raspberry pattiyo ki chai ka rojana sevan karne se aaapko mahavari mai bhi fayda pahuchta hai. Mahavari ki samasya bahut purani hai. Yeh samasya sharirik aur mansik rup se kamjor hone par hoti hai. Yadi aapko mahavari har bar 8 se 10 din pehle ya adhik hoti hai to aap raspberry ki pattiyo ka sevan kare to iss samasya se nijat mil jayega.

You may also like:- Coffee Benefits in Hindi: Jane Ise Pine Ke Bemisal Fayde

 

Star Anise Tea

Star anise chai, china mai pure sal lagne wale poudho ke phalo se banti hai. Star anise tea aapke pachan ko behtar banane mai karagar hoti hai. Sath hi yeh pachan se sambandit bimariyo ko dur karne mai bhi sahayak hai. Jaise pet ka kharab hona, ulti, dast, aadi.

Jab bhi aap inme se kisi bhi samasya se grasit ho, tab aap star anise tea ke phali ko 10 minute tak pani mai ubal kar piye. Yadi aapko uska thoda aur taste badana hai to aap chai ko ubalte samay shakkar ya shahad bhi dal sakte hai. Isse choti choti chuski lekar piye. Star anise tea ko pine se aapke pet ki bimariya nasht ho jayegi.

Black Tea

Black tea yani ki bina dhoodh ki chai.  Black tea mai kai aise tatv paye jate hai, jo aapke vajan ko kam karne mai sahayak hote hai. Doodh wali chai pine se kuch logo ka vajan badta hai. Kyuki usme bahut jayda matra mai calorie hoti hai. Wahi agar aap bina doodh ki chai piyenge to aapka Weight Loss hoga. Black tea mai kai tarah ke antioxidant hote hai. Jo atirikt charbi ko kam karne mai sahayak hote hai.  Kali chai aapke swasth ke liye bahut faydemand hoti hai. Yeh aapko din bhar tarotaja rakhti hai.

Black Tea pine se aapka vajan kam hone lagta hai, kyuki aap isme na to doodh milate hai na hi chini. Iska rojana sevan karne se dil ki bimariyo se bacha ja sakta hai. Kyuki isme banne wale flavonoids bure cholesterol ko banne se rokta hai.

Types of Tea With Names

Oolong Tea

Oolong tea bhi vajan kam karne mai madadgar hoti hai. Oolong tea khamir uthne ki prakriya se taiyar hoti hai. Yeh green tea se bhi jayada faydemand hoti hai. Oolong tea ka rojana 2 cup pine se yeh sharir ki charbi aur cholesterol ko kam karti hai.

Pudina Tea

Pudina tea aur green tea dono hi chai pachan ko sudharane tatha vajan kam karne mai sahayak hoti hai. yadi aapko peppermint tea acchi lagti hai, to aap kabhi green tea kabhi peppermint tea ka sevan kar sakti hai. Iss chai ko banana ke liye pudina ki pattiyo ko pani mai ubalkar banaya jata hai. Tatha swad badane ke liye isme aap 1 chammch shahad bhi dal kar pee sakte hai. Ise aap garam aur thandi dono tarike se pee sakte hai. Pudina tea aapke swasth ke liye kaafi aacha pey hai.

You may also like:- Lemon Grass Tea se Hone Wale Swasth Laabh

 

Lemon Tea

Lemon Tea ko aap ghar par bhi bana sakte hai ya bajar mai bhi lemon tea asani se mil jati hai. Yadi aap motape se bahut pareshan hai to, to aap normal chai ke bajay lemon tea pina shuru kar dijiye.  Lemon tea mai lemon ya nimbu hota hai, jo sharir se gandgi tatha pet ko bhi saaf karta hai. Aur lemon tea ka rojana subah subah sevan karne se aapke pet ki charbi ko bhi kam kiya ja sakta hai.

Nimbu ki chai mai aap shahad, dalchini aadi ko dalkar bhi iska sevan kar sakte hai. Yeh sab tatva vajan ko kam karne mai madad karte hai. lemon tea ka sevan karne se mastishk ki tantrikaye shant hoti hai, tatha mastiksh tanva mukt rehta hai. Yeh dusri tea ke mukable jayda urjavan hoti hai.

Lemon tea hriday ke liye bhi bahut faydemand hoti hai.  Lemon tea ka niymit rup se sevan karne se hriday ki kai kai bimariyo se bacha ja sakta hai. Isme mojud flavonoids sharir ki sujan ko kam karte hai. Khana khane ke bad lemon tea ka sevan karne se bhukh badti hai aur khana jaldi se pach jata hai. Kyuki nimbu jitna swadisht hota hai, utna hi faydemand bhi hota hai.

Prakrati ne nimbu ko acche swasth ke liye diya hai. Nimbu aapko kai bimariyo se bachata hai sath hi yeh aapki umar ko badane mai bhi sahayak hota hai.

Rose Tea

Rose tea iske naam se hi pata chalta hai, ki yeh gulaab se banai gai chai hogi.  Gulab sharir ke liye bhaut faydemand hota hai. Gulab ki kaliya rup nikahrne ke bhi kaam aati hai. Rose tea ko taja gulab ki kaliyo se banaya jata hai. Isme vitamin A, B3, C, D aur E hote hai jo sharir ke liye bahut faydemand hote hai. Yeh kai sankramano se bachata hai.

Upar aapne jana Types of Tea in Hindi. Chai ke inn prakaro ko yadi santulit matra mai piya jaye to fayda milta hai. To aaj se apne manpasandida flavor ko try kare.

Loading...

You may also like...