Cold Drinks in Hindi – Swadisht Lekin Sharir Ke Liye Hanikarak

Garmi ka mausam shuru ho gaya hai, tej dhup aur bahta pasina logo ko thandi chijo ki taraf aakarshit karta hai aur log ice cream, barf aur cold drink ka upyog jayada se jayada karne lagte hai. Teji se bad rahi garmi aur dhup ki chichilahat ke sath gale ki pyas bhujane tatha dilo dimag ko thamdak pahunchane wale bottle aur dibba band drinks ki mang badne lagi hai.

Sharir me pani ki kami ko pura karne tatha kabhi dosto ka sath dene ke liye jane-anjane mai rojana pee jane wali cold drinks sharir ko kitna nuksaan pahunchati hai, shayad hi hum iska andaja laga payenge. Dekha jaye to sahi mayne pani se behtar koi aur vikalp nahi hai jo garmiyo se rahat dila sake.

Yah sabhi pay padarth swad mai hi acche hote hai. Sharir ko yah fayda nahi balki nuksan pahunchate hai. Inme kisi bhi prakar ke koi poshak tatv bhi nahi hote hai. Sath hi ime bahut se rasayanik padarth hote hai, jo swasth ko nuksaan pahunchate hai. Yah drinks pyas nahi bhujati balki bimariyo ko bulawa deti hai. Aaiye jante hai Cold Drinks in Hindi, se sambandhit kuch anya mahatvpurn jankariya.

 

Cold Drinks in Hindi: Janiye Inke Sevan Ke Nuksaan

 

Cold Drinks in Hindi

 

Side Effects of Cold Drinks: Jane Inse Hone Wale Dushprabhav  

Garmiyo mai cold drinks ka sevan loh bahut karte hai. Isme majud chemicals jaise caffeine, citric acid aur hanikarak rang humare sharir ko dhire-dhire galane lagte hai. Yah sharir mai calcium ko kam karta hai. Sath hi pet mai jalan, kabj, bhook, badhajmi, liver, dil ki bimari aur aanto ke rog utpann kar deti hai.

 

You may also like:- Benefits of Protein Shakes, Iss Drink ke Anmol Fayde

 

Swasthya visheshagyo ne cold drink khastor par sugar yukt carbonate shital pay ke adhik sevan se bachne ki salah di hai, kyoki inke adhik sevan se bimar hone ki aashanka bad jati hai. Pichle kuch varsho se pure vishv mai mithe cold drink ke sevan mai teji se vradhi huyi hai. Ek pharma company ke ek lekh ke mutabik cold drink pine ke 10 minute baad se hi sharir ke andar nuksaan ki shuruvaat ho jati hai. Aaiye jante hai Side Effects of Cold Drinks

 

After 10 Minute

Unke anusar, cold drink pine ke shuruvaati 10 minute mai hi sharir mai 10 chammach ke barabar sugar chali jati hai. Isni chini pat mai jane ke baad bhi aap foran ultiya nahi karte hai, kyoki isme phosphoric acid hota hai , jo swad ko banaye rakhta hai.

 

After 20 Minute

Adhik chini ki matra se sharir mai insulin bad jati hai, jise liver turant vasa mai badalne lagta hai. Sharir mai sugar ki matra badne se aap dhire-dhire chidchide aur sust hone lagte hai. Aapki halat nashe mai dhutt vyakti ki tarah ho jati hai. Sath hi lagatar col drinks ki aadat sharir mai pani ki kami tatha dant aur haddiyo ko kamjor karne lagti hai.

 

After 40 Minute

Jab bhi aap cold drink pite hai uske 40 minute baad aapke sharir mai caffeine puri tarah se ghul jata hai, to aankho ki putliya felne lagti hai. Blood pressure badne lagta hai aur liver, sharir mai majud adhik sharkara ko raktdhamniyo mai bhejne lagta hai.

 

After 45 Minute

Dimag mai dopamine rasayan ka strav adhik badne se vyakti ko heroine ke nashe jaisa ehsas hone lagta hai.

Aaj kal bajar mai bahut se aise pay padarth bhi uplabdh hai, jo yuva varg mai kafi prachalit hai. Aise sabhi energy drinks dawa karte hai ki wo aapke sharir ko fit rakhte hai. Lekin sach yah hai ki koi bhi rasayanik padarth aisa nahi kar sakta hai. Inn padartho ke adhik sevan swasthya ke liye hanikarak sabit ho sakta hai.

 

Diabetes aur Motapa

America mai hui ek shodh ke anysar, mithe soft drinks ki badti khapat ke karan pichle kuch saalo se madhumeh 1 lakh 30 hajar aur hriday rog ke 14 hajar naye mamle samne aaye hai. Prasiddh hriday rog visheshagyo ke mutabik, inn pay padartho mai 200 se bhi adhik calorie hoti hai aur inke adhik sevan se motapa aata hai.

Howards research ke anusar, cold drinks pine wale logo mai 1.6 times obesity ki risk bad jati hai. Sath hi aise log jo niyamit rrop se inka sevan karte hai unme 2 tarah diabetes ki aashanka 80 pratishat tak bad jati hai.

 

Prostate Cancer

Ek taja addahyan ki mane to yah pay padarth cancer ko bulawa dete hei. Iss addahyan mai cold drink aur sehat par unse hone wale prabhavo ke bare mai shodh kiya gaya. Iss shodh mai ke to parinaam aaye wo chokane wale the, unke anusar inka atydhik sevan purusho mai 40 pratishat prostate cancer hone ki aashanka bad jati hai.

 

Danto Ko Kharab Kare

Agar aap feeling ya tooth puling se bachna chahte hai to cold drinks ke sevan par control kare. Ek taja sodh mai khulasa huya hai ki soft drink aur yaha tak ki diet soda aapke danto ko ess had tak nuksaan pahunchate hai, jitna drugs bhi milkar bhi nahi karte hai.

Aahar visheshagyo ne ek sujhav diya hai, ki garmi mao bottle band ya dibba band shital pay padartho ke bajay ghar mai banaye gaye taje phalo aur sabjiyo ke juice ka sevan karna chahiye kyoki yah swadisht, attayant poshtik aur swasthya vardhak hote hai.

 

Cold drinks effects

 

Desi Summer Drinks: Ghar Par Banaye Juice

Tapti garmi, dhup aur garm hawao ke sath-sath sharir mai pani ki kami pura kar ne ya pyas ko bujhane ke liye cold drinks ke bajaye ghar par bane summer drinks ka upyog aapke liye kafi faydemand sabit hoga. Aaiye jante hai kuch aasan drinks jo garmi mai rahat ke sath-sath aapko swasth bhi rakhte hai.

 

Nimbu Pani    

Garmi ke mausam se rahat pane ke liye aap nimbu pani juice ka sevan avashya kare. Yah sharir mai pani ki kami ko to pura karta hai hi sath hi sharir se toxins tatvo ko bhi bahar nikalta hai. Isme Vitamin C aur potassium adhik matra mai hota hai, jo sharir mai rakt ke sanchar ko thik rakhta hai aur cholesterol santulit banaye rakhta hai.

 

You may also like:- Lemon Water Benefits in Hindi: Nimbu Pani Pine Ke Fayde

 

Jaljeera 

Jaljeera benefits to aap sabhi jante honge, jeera powder, kala namak, adrak, amchur powder aur hing ko milakar ise tyyar kiya jata hai. Yah sharir mai pani ki kami ko to pura karta hai hi, sath hi pachan bhi bahut accha rakhta hai. Isme iron, vitamin C jaise tatv hote hai, jo sharir ko thanda thanda rakhte hai aur sharir ki pratirodhi shamta ko bhi badate hai.

 

Lassi

Garmi mai lassi na sirf soft drink ki kami ko pura karti hai balki sharir ke liye full time diet ka kaam bhi karti hai. Dahi mai mojud gun bacteria, calcium aadi tatv aapko urja pradan karte hai aur pachan thik rakhte hai.

 

Aam Ka Pana

Aam to garmi ka phal hai hi lekin isse banana wala pana na sirf pani aur namak ke balance ko banaye rakhta hai balki isme majud vitamin c, potassium aadi tatv aapko nutrition dete hai aur gami ki lu se bachane mai bhi prabhavi hote hai.

 

Chaach

Jo log mithi lassi pina pasand nahi karte hai unke liye chaach ek bahut accha vikalp hai. Isme lassi ke sabhi gun hote hai aur yah behad lite diet hai. Sath hi yah sharir mai namak ki kami ko bhi pura karta hai.

Aaj humne aapko Cold Drinks in Hindi, se hone wale sharirik nuksaan ke bare mai bataya hai. Yah pay padarth sharir mai acid ko badate hai aur isme sugar ki matra bhi bahut adhik hoti hai, jo na sirf sharir mai vasa ko badate hai, balki anya nuksaan bhi pahunchati hai. Ek cane drink 400 calorie badati hai. Yah bad calorie hoti hai, jo sharir ko andar tak nuksaan pahunchati hai. Inka niyamit sevan karne se Fatty Liver namak bimari sharir mai badne lagti hai.

Aaj kal yuvao ke khadya padartho mai cold drinks aur chips bahut adhik istemal hote hai. Yah kai mahino se band ya polethine mai pack rahti hai, jo swasthya sambandhit samasyao ko janm deti hai. Inke alawa garmi ke dino mai bikne wale dibba band fruit juice, kate huye phal tatha vibhinn shital pay khatarnak sabit hote hai. Inke sevan se E-kolai, salmonella, sujela, clicksulla jaise jivanuo aur vishanuo ka sankramano ho jata hai. Jisse heja, vishanuo se hone wale sankraman, behoshi, nimoniya, bukhar, mashtiksh jwar, drashti dosh, snayu sambandhi rog aur yaha tak ki maut bhi ho sakti hai. Isliye inn parayanik pay padartho ka sevan chodkar, ghar par bane huye taje phalo ka ras piye aur swasthya rahe.

Loading...

You may also like...