Food for Glowing Skin in Hindi: Damakti Hui Twacha Ke Liye
Nikhari damakti twacha har ladki ka khwab hota hai. Kuch ladkiyo ke chehre par kudrati tour par hi chamak hoti hai aur aap unhe dekh kar nirash ho jate hai ki aapki twacha aesi kyu nahi hai. Lekin aapko nirash hone ki jarurat nahi hai thodi si mehnat karke aap bhi khubsurat aur nikhari twacha paa sakte hai.
Yaha dekhbhal se hamara tatparya keval face pack lagana, facial karna nahi hai. Balki yaha ham twacha ke liye andruni dekhbhal ki baat kar rahe hai. Khubsurat twacha ka hona jyadatar iss bat par nirbhar karta hai ki aapka khan pan kaisa hai. Jab aap aahar ka sevan karte hai tab aapke sharir mai poshak tatva jate hai. Jinse aapki twacha damakti aur nikhri hui dikhti hai.
Lekin aapke aahar mai aese poshak tatv shamil hona chahiye jinka asar aapki twacha par dikhai de. Aese kai aahar hai jinka sevan karne se aapki twacha mai nikhar aayega.
Vitamin c se yukt phalo, sabjiyo aadi ko khane se chehre par chamak aati hai aur jhurriya nahi padhti hai. To aaiye jante hai aese hi kuch Food for Glowing Skin in Hindi jinka sevan se aapka chehra bhi damak jaye.
Food for Glowing Skin in Hindi: Twacha Ke Liye Khas Aahar
Faydemand Phal:-
Ham khud ko sundar banane ke liye kya kya nahi karte. Kuch log to medicines bhi lete hai. To kyu na ise aasan bana diya jaye. Aap bus roj phal khana shuru kar de fir dekhe kamal.
Santra Twacha Ko Chamkaye
Vitamin C se bharpur hone ke karan santra aapki twacha ko chamkane mai bahut madad karta hai. Iska ras pine se aapki twacha ki khoi hui chamak wapis lot aati hai. Iske sath hi aap Iske chilke ko sukhakar facepack ke roop mai bhi laga sakti hai.
You may also like:- Home Remedies for Tanning: Twacha Ka Kalapan Dur Kare
Anar Banaye Twacha Gulabi
Anar mai antioxidant tatva bharpur matra mai hote hai. Isko khane ya iska ras pine se sharir mai lal rakt koshikaye banti hai. Jisse sharir mai khun ki matra badti hai. Yeh kisi bhi tarah ke chot ka ghav bharne mai saksham hota hai. Yeh khun ko badata hai isliye twach bhi lal dilkhai deti hai. Yadi aap 1 saal tak iska sevan karte hai to aapke chehre par lalima aa jayegi aur aapko katrim blusher lagane ki jarurat nahi padegi. Yeh Best Food for Skin hai.
Sukhe Meve Bhi Faydemand
Badam(Almonds): Badam mai protein, reshe aur kuch mahatvapurn fatity acids hote hai jo sharir ke liye faydemand hote hai. Sath hi yeh rakt mai hemoglobin ko badata hai. Iske sevan se muhase nahi hote hai aur twacha chamakdar banati hai.
Kishmish(Raisins): Kishmish mai vitamin A hota hai jo aapki twacha ko swasth bananta hai aur umra ki gati ko dhire kar deta hai.
Kaju(Cashew): Kaju ke rojana sevan se twacha ka rang nikharta hai kyoki isme vitamin E prachur matra mai hota hai. Tatha yeh twacha ki raksha karta hai.
Pista(Pistachio): Piste mai vitamin E hota hai jisse twacha ko yuvi kirno se bachav hota hai tatha badti umra kuch samay ke liye tham jati hai. Yeh antioxidant ka accha strot hai.
Hari Sabjiyo Ka Sevan
Hari pattiyo wali hari sabjiya jaise palak ,methi chehre ka rang nikharne ke liye bahut madadgar hai. Kyoki inme antioxidant, vitamin A, vitamin C, aur iron bharpur matra mai hota hai. Jo aapke khun ko saaf karne mai madad karte hai.
Yadi aapko hari sabjiya khana nahi pasand hai to inka ras banakar bhi pee sakte hai. Isse aapki chehre par chamak bani rahegi aur aap din pe din nikharti jayegi.
Green Tea Rakhe Aapki Twach Ko Swasth
Green tea yane ki hari chai ek herbal chai hai. Iske faydo ke bare mai to aapne suna hi hoga. Isme moujud anti-oxidant tatv naa keval aapke swasth ki raksha karte hai balki iska sevan aapki twacha se sunburn aur daag dhabbe ko bhi dur karta hai. Jisse twacha komal aur nikhri hui bani rehti hai. Ham aapko batana chahte hai ki green tea se Weigh Loss bhi hota hai. To hua na yeh doguna fayda damakti twacha ke sath sath aapko aakarshak figure bhi milega.
Roj Khaye Ande
Sunday ho ya Monday roj khaye ande. Yeh kahavat yun hi nahi bani hai. Ande khane se sharir majboot banta hai kyoki isme bharpur matra mai protein aur calcium moujud hota hai. Jab aapka sharir majboot rehta hai aapko thakavat mehsus nahi hoti hai aur aapke chehra fresh dikhta hai.
Nimbu Pani
Nimbu mai vitamin C paya jata hai, isliye apne aahar mai nimbu ko jarur shamil kare. Yeh sharir se gandagi dur karne mai madad karta hai. Nimbu ke ras ko garam pani mai dalkar piye ya fir salad mai nichod kar bhi iska sevan kar sakte hai.
Machali
Machli mai omega 3 paya jata hai. Jo ki aapki twacha ke liye bahut accha hota hai. Iske sevan se aapki twacha khili hui aur swasth rehti hai. Isse aapke baal bhi kale aur ghane hote hai.
You may also like:- Natural Acne Treatment in Hindi: Muhanso Ka Prakratik Upchar
Guno Ki Khan Tamatar
Tamatar Skin Care ke liye bahut faydemand hai. Isme lycopene aur antioxidant tatva paye jate hai isliye iska niyamit sevan karne se sharir par budhapa jaldi nahi aata hai. Yeh chehre ki twacha ko free radical se bachata hai tatha twacha ko chamak deta hai.
Protein Se Bharpur Dal
Dal mai bahut adhik matra mai protein hota hai isko khane se sharir ko protein milta hai aur twacha mai nai koshikaye banti hai, jisse chehre ki twacha glow karti hai.
Brown Rice
Brown rice bahut accha khadya padhart hai, Iski madad se aap aapki twacha ko khubsurat aur swasth banaye rakh sakte hai. Brown rice mai lipids molecules hote hai jo aapki twacha nami ko banaye rakhta hai. Sath hi isme ceramides bhi hota hai jo twacha ke andar jata hai aur nai urja pradan karta hai.
Upar aapne jana Food for Glowing Skin in Hindi. Uprokt khadya padhartho ko apni dincharya mai shamil karke aap bhi damakti aur khubsurat twacha ki khwahish puri kar sakti hai.