Home Remedies for White Hair in Hindi: Safed Baal Kale Kare

Aajkal ki bhagdour bhari lifestyle mai baalo ki acchi dekhbhal ke liye kisi ke pas samay nahi hai. Jiske chalte kam urma mai hi baal safed hone lagte hai. Pehle ke jamane mai 40 saal ki umra ke baad baal safed hona shuru hote the. Lekin aajkal kam umra mai hi baal jhadne ki samasya aam ho gayi hai.

Safed baalo se chutkara pane ke liye log hair dye aur color ka istemal karte hai. Jisko bar bar istemal karne se hamare baal aur jyada safed hone lagte hai. Aese mai bar bar hair dye karne ka jhanjat rehta hai. Aur yadi baal color karne ke liye wakt nahi mil paye to kishoro ko kai chizo ka samna karna padhta hai. Log unhe bhudha kehkar chidane lagte hai.

Iss karan office mai kaam karne wale workers ya college going students ko sharmindagi ka samna karna padhta hai. Unhe logo ke bich uthne baithne mai sharmindgi mehsus hoti hai. Kuch log dikhne mai to gore, acche nain nakshe wale hote hai, lekin unke yeh safed baalo ki samasya unki sundarta ko bigad deti hai.

Lekin aapko aur pareshan hone ki jarurat nahi hai. Kuch gharelu upcharo ki madad se aap baalo ka jhadna rok sakte hai. Aur gharelu upayo ko apnane ka fayda yeh hai ki isse aapko kisi tarah ka side effect bhi nahi hoga. To aaiye jane Home Remedies for White Hair in Hindi.
 

Home Remedies for White Hair in Hindi Se Baalo Ko Kala Banaye

 
Home Remedies for White Hair in Hindi
 
Baalo ka safed hona aur asamy ganjapan aaj ke wakt ki gambhir samasya hai. Atyadhik tanav aur pradhushan ke chlate hamare baal safed ho jate hai. Galat khanpan bhi iske piche ka mukhya karan hai. Lekin iske upchar ke liye kai gharelu upchar aapke ghar mai hi moujud hai aaiye jane:-

Labhkari Methi Powder

 
Methi powder hamare sharir ke liye bhead hi faydemand hai. Lekin kya aap jante hai rakt ko saaf karne ke sath sath yeh aapke baalo ko safed hone se bachata hai. Darahsal methi ke beejo mai baalo ko poshan dene wale sabhi jaruri poshak tatva moujud hote hai. Isme phospate, lecithin, folic acic, magnesium, zinc, copper, cod liver oil, niyasin, thiyamin, keratin aadi poshak tatva paye jate hai.

Yeh sabhi tatva aapke baalo ke liye faydemand hai. Sabse pehle to methi daano ko grinder mai peeskar churn bana le. Fir churn mai pani dalkar paste taiyar kar le aur iss paste ko baalo mai lagaye. Ise lagane se baal kale hote hai. Sath hi sath yeh dandruff ki samasya se bhi nijad dilata hai.
 

Baal range Chai Patti

Chai patti ki madad se bhi aap apne baalo ko kala kar sakte hai. Yeh ek natural dye hoti hai. kaali chai aapke samay se pehle safed huye baalo ko kala karne mai madad karti hai. Ise upyog karne ke liye aap 2 chammach chaipatti ko 1 glass pani mai dalkar ubaal le. Pani ko aadha hone tak ubalana hai. Ab iss pani ko 2 ghante ke liye thanda hone ke liye rakh de.

Ab pani ko chhankar ek sprey wali bottle mai rakh de. Ab iss sprey wali bottle se apne baalo mai sprey kare. ek ghante ise aese hi rehne de aur paani se dho le. Lekin ek baat ka khayal rakhe iske baad shampoo naa kare.
 

Chukundar – Burgundy Rang Ke Liye

Yadi aap kale ki jagah apne baalo mai burgundy color chahte hai to chukundar ka istemal kar sakte hai. Yeh na keval prakratik tarike se baalo ko rangta hai balki iska jhadna bhi rokta hai. chukundar mai vitamin b, vitamin c, phasphours, calcium, protien aadi jaruri tatva mojud hote hai. Yeh tatva antioxidant ki tarah hai jo baalo ko prakartik roop se nikharte hai.

Chukundar se apne safed baalo ko rangne ke liye chukundar ko chote chote tukdo mai kaat le. Fir in tukdo ko mixer mai peeskar paste bana le. Iss paste mai baarbar matra mai heena milaye aur 2 ghante ke liye baalo par laga kar rakh de. Ab apne baalo ko keval pani se dhoye aur agle din shampoo kar le. 15 din mai do baar iska prayog karna hitkar hai.
 

You May Also Like:- Home Remedies for Rough Hair in Hindi – Rakhe Baalo ka Khayal

 

Aloe vera

Alee vera ka istemal to kai logo ne apni twacha ko nikharne ke liye kiya hoga. Aur jin logo ne iska istemal nahi bhi kiya hoga to bhi iske guno ki tarif to jarur suni hogi. Ham aapko batana chahte hai ki aloe vera ki madad se aap apne baalo ko bhi accha bana sakte hai.

Baalo mai aloevera ka jel lagane se baalo ka jhadna aur safed hona band ho jata hai. Iske atirikt aapke sir ke jis hisse par baal nahi hai waha par baal bhi aane lagte hai. Isko istemal karna bhi behad hi saral hai. Bus aloevera ki pattiyo se taja jel nikal le aur iss jel ko sidhe apne sar ke scalp aur baalo mai lagaye. Aur ek ghante ke paschat dho le. Hafte mai do baar iss kriya ko dohraye. Aapko ek mahine mai hi farak najar aane lagega.
 

Mehndi Sabse Behtar

Prakratik hari mehndi ke istemal se bhi aap apne baalo ko safed dikhne se bacha sakte hai. Ise prakrtik hair dye ke naam se jana jata hai. Isse patle baal mote bhi hote hai. Yeh ek accha Treatment for White Hair hai. Iske istemal ke liye pehle mehndi ko acche se chhankar rakh de. 1 glass pani mai chaipatti ko ubaal le. Ab mehndi ko iss pani mai ghole.

Mehndi gholne ke baad usme peesa hua kattha dale aur kuch bund nimbu ki dale. Yeh sari prakriya aap jees din mehndi lagane wale hai uske ek din pehle raat mai kar le. Raat bhar mehndi ko lohe ki kadai mai bhigne de. Iss aapke baalo ko iron bhi milga. Ab agle din mehndi ko apne pure baalo mai lagaye. Aur 3 ghante ke liye chhod de. Teen ghante ke baad apne baalo ko keval pani se dhoye. Aur agle din shampoo kar le.

Mehndi lagate hi aapke baalo mai sundar rang aa jayega. Aap iss prakriya ko apni suvidhaanusar jaise 15 din mai ek baar ya fir 1 mahine mai ek baar mehndi laga sakte hai. Aur yadi isse aapke baal bahut hi jyada rukhe ho rahe hai to mehndi lagane se pehle usme thoda dahi ghol le.
 

Faydemand Amla

Natural Treatment for White Hair
 
Amla Benefits aapke baalo ke liye bhi hai. Baalo ki dekhbhak ki baat ho rahi hai aur amla ka naam na aaye aesa mumkin nahi hai. Yeh Natural Treatment for White Hair hai. Aamle ki madad se kudrati kale baal pane ke liye aap amla powder ko lohe ke kale rang ke bartan mai ek din ke liye rakh dijiye. Iske bad aap agli subah ko iska paste bana lijiye. Iska paste banane ke liye pani ka istemal kijiye.

Ab iss paste ko hafte bhar ke liye pani mai milakar rakhe. Hafte bhar mai iss paste ka rang pura kala ho jayega. 1 hafte baad aap iss paste ko dye ki tarah lagaye. Iss paste ko 2 din lagatar lagaye. Mahine mai teen baar aesa kare. Baalo mai kudrati kala rang aane lagega.
 

Nariyal Tel Ki Champi

Kai baar kam umra mai baal safed hone ki wajah kuch aur nahi balki sharir mai jyada garmi ka hona hai. Sharir mai jyada garmi hone ke wajah se baal jaldi saded hone lagte hai. Iske liye aapko nariyal tel ki malish karni chahiye. Yeh tel aapke sar ko thandak deta hai. Nariyal ke tel mai jaitun ka tel ki barabar matra le. Fir iss tel se acchi malish kar le. Malish ke bad fir garm toliye se sar ko 5 minute ke liye dhake. Aesa karne se baal safed nahi hote aur unka jhadna bhi band ho jata hai. Isse baalo mai chamak bhi aati hai.
 

You may also like:- Hairstyles for Long Hair in Hindi: Apne Baalo Ko De Naya Andaj

 

Bhangra aur Reetha

Aapke sar par jaha bhi baal behad kam ho, waha par bhangra ke patto se malish karne par kuch hi din mai acche baal aate hai. Triphala ke churn mai bhangra ke ras ko ubalkar fir ise acchi tarah sukhye aur pees le . Pratidin subah ke wakt 2 gram tak sevan kare. Baalo ka safed hona band ho jayega.

Baalo ko kala aur ghana banane ke liye reetha bhi behad faydemand hai. Iska upyog karne ke liye 100 gram magar motha aur reethe ke phla ki girli, pavbhar sikakai, 200 gram amla le. Inn sari chizo ki milakar pees le. Ab iss mishran ko aadha glass pani mai milakar lep bana le. Iss lep ko aap sukhne tak apne baalo mai lagaye.Iske baad gungune pani se baalo ko acchi tarah dho le. Isske aapke baalo ka rang kala hoga. Reetha, amla aur sikakai, inn tino ka mishran aapke baalo ko silki aur chamakdar karta hai.
 
Upar aapne jana Home Remedies for White Hair in Hindi. Upar diye gaye tariko ko apnane se aapke baal safed nahi honge. Aur yadi aapke baal safed ho bhi chuke hai to uprokt tarike unhe kala, ghana aur mulayam bana denge.

Loading...

You may also like...