ADHD in Hindi – Mashtishk Se Sambandhit Ek Vikar

Aak ke samay mai bahut se aise vicar ya rogo ke bare mai sunane ko milta hai, jiske bare mai pahle kabhi suna hi nahi hota hai. Kuch rog to aise hote hai jinke naam bhi kabhi nahi sune. Aisa hi ek vicar hai “ADHD” arthat “Attention Deficit Hyperactivity Disorder” syeh mashtishk se sambandhit ek vicar hai. Jaike bare mai yakinana aap nahi jante honge.

Yeh baccho aur bado dono ko ho sakta hai, lekin baccho mai iss vicar ke hone ki sambhavna adhik hoti hai. Iss bimari mai vyakti ka vyayhaar badal jata hai aur yaadasht kamjor ho jati hai. ADHD tantrika se juda huya ek vikar hai, jo sikhne, dhyan dene aur vyavhaar par apne prabhav dalta hai.

Isse becheni, roshpurn vyayhaar, dhyan bhatkna aur ati-skriyta jaisi paristhitiya paida ho jati hai. Isse grasit bacche school aur ghar ke kaamo mai dhyan kendrit nahi kar pate hai. Yeh bachpan ke samanya vikaro mai se ek hai tatha kishoravastha aur vyask hone tak jari ras sakta hai.

Dusre shabdo mai kaha jaye to iss rog se grasit vyakti kisi bhi chij par dhyan kendrit karne ki shamta ka sahi istemal nahi kar pata hai. Mana jata hai ki rasayano ke istemal se dimag ki kamjori ki wajah se yeh kami hoti hai. Aaiye jante hai ADHD in Hindi ke bare mai vistar se.

ADHD in Hindi: Janiye Iske Lakshan aur Upchar ke Tarike

ADHD

ADHD Kya Nahi Hai

Baccho mai kuch samanya vyavhaar dekhe jate hai jaise rosh se bhar jana, adhik baate karna, khelte samay anya bacchi ke sath ugra hona, kuch karte samay dhyan bhatak jana yeh sabhi kuch baate hai jo bacchi mai aksar dekhi jati hai. Jab baccha apne niyamit kaam aur padai-likhai thik tarah se kar pa raha hai. To yeh ADHD nahi hai.

Types of ADHD: Iske Prakar

Yeh do prakar ka hota hai aur tisra inn dono ka mishran hota hai.

Isme pahle hai ADHD-Hyperactive Impulsive Type, iss vikar se pidit baccho mai kam umra mai hi iske lakshan dikhai dene lagte hai.

Dusra hai ADHD-Inattentive Type, iss vikar mai baccho mai dhyan kendrit karne mai pareshani aane lagti hai. Wah kisi bhi gatividhi par dhyan nahi de pate hai. Kyoki yeh vikar kam aayu mai hi aa jata hai, isliye baccho ke bade hone par jab unhe jimmedariya di jati hai to wah karyo ko sahi dhang se nahi kar pate hai. Unke mata-pita bachpan mai unke iss vikar ko samjh nahi paate hai, jo bade hone par taklifdeh ban jata hai.

Causes of ADHD: Iske Karan

Visheshagyo ke anusar, ADHD ke mukhya karano ke bare mai aaj tak thik se kuch pata nahi lag paya hai. Unke anusar shayad yeh mashtishk mai kisi rasayan ke asantulit hone ke karan hota hai, lekin abhi iski pushti nahi hui hai.

Lekin wah mante hai ki sandesh bhejne wale neurotransmitters ke nimn sttaro se (Dopamine aur Norepinephrine) se yeh rog ho sakta hai. Ye neurotransmitter ekagrata, samanvay aur bhavnayo ko niyantrit karne sambandhi mashtishk ke kaam se juda hai. Aaiye jante hai Causes of ADHD, jin wajah se yeh ho sakta hai-

Anuvanshik

Kai addhayano mai yeh paya gaya hai ki 80 pratishit logo mai yeh bimari anuvanshik yani genetic tarike se pravesh karti hai. ADHD pariwaar ke vibhinn sadaso mai dekha ja sakta hai.

Paryavaran Se Jude Karak

Visheshagyao ke anusar, yeh bhi dekha gaya hai ki jo garbhvati mahilaye dhumrapan ya sharab ka sevan karti hai to unke bacho mai ADHD se prabhavit hone ki sambhavnaye bad jati hai. Yeh bhi paya gaya hai ki Led ke sampark mai aane wale bhurn ya navjaat shishuo mai bhi iss vikar ke hone ki sambavna hoti hai.

Mano-Vaigyanik Karan

Lambe samay se chali aa rahi bhavnatmak ya pariwarik samasya jaise shadi-shuda life mai manmutav, gharelu hinsa aadi wajaho se bhi yeh ho sakta hai, kyoki inka asar baccho par bhi padta hai.

ADHD Symptoms

ADHD Symptoms: Iske Lakshan

Iske lakshano ko sabse pahel mata-pita ya school ke shikshako ko samajhna chahiye. Jo bacche apne ghar mai ya school mai apne vyavhaar aur pradarshan mai samanya se kuch alag kar rahe hai, to ho sakta hai ki baccha ADHD se pidit ho. Aaiye jante hai ADHD Symptoms

Baccho Mai ADHD Ke Lakshan

  1. School ya ghar par har kaam mai laparwahi karna ya choti-choti galtiya humesha karte rahna.
  2. Bacche ka diye gaye aadesho ka palan na karna, unhe na manana aur unn par dhyan na dena.
  3. Kisi bhi karya ko thik tarah se na kar pana.
  4. Homework karna ya notebooks ka bhul jana.
  5. Kam umra se hi baato ko bulne lagna.
  6. Ek sthan par na baithna aur thoi-thodi der mai vyakul ho jana.
  7. Sayam kho dena.

Vayasko Mai ADHD Ke Lakshan

  1. Aasani se dhyan ka bhatak jana.
  2. Yojnabaddh tarike se karya na karna.
  3. Baato ko yaad na rakh pana ya baato ko talamtol karna.
  4. Har kaam mai deri karna aur boriyat mehsus karna.
  5. Depression mai rahna aur choti-choti par beechen ho jana.
  6. Rishto se judi samasyaye.

ADHD ki pahchan ke liye, baccho mai iske lakshan saat saal ki aayu ke pahle mojud rahna chahiye. Jab baccho mai ya bado mai iss prakar ke lakshan najar aa rahe hai, to yakinan wo ADHD ki samasya se jujh rahe hai.

ADHD Treatment: Iska Upchar

Kai baccho mai ADHD se milte huye kuch lakshan dikhai dete hai lekin iska yeh matlab nahi hai veh bhi isse pidit hai. Iske liye mata-pita ko vikar ka pata lagane ke liye kisi baalrog visheshagya ya mano-chikitsak se paramarsh lena chahiye.

Visheshagya aise kai parikshan karte hai jinse yeh pata lagaya ja sakta hai ki ADHD hai ya nahi. Inhi parikshano mai se ek hai, vikar ke lakshano ki suchi se bacche ke vyavhaar aur aadato ka Milan karna. Jisse aasani se samjha ja sakta hai ki baccha abhi kis paristhiti se gujar raha hai.

Kabhi-kabhi ghabrahat, disleksia aur autism bhi ADHD ke sath ho sakta hai. Isliye ADHD ke sath bad rahe anya vikaro ki aashanka ko dur karne ke liye bhi chikitsak se salah le lena chahiye. Agar koi dusri samasya bhi hai to uska aaklan aur ilaj bhi ADHD ke satah-sath kiya ja sakta hai.

ADHD Treatment mai therapy, counseling aur upchari shekshanik training inn sabhi ki mili juli jarurat hoti hai. Bacche ke lakshano ki ghambhirta ko samjhte huye uske vyaktitv aur uske swasthya ke aadhar par ilaj ki prakriya shuru ki jati hai. Kuch bacche inn upcharo ko apnakar punah ek samanya zindagi jine lagte hai. Aaiye jante hai kuch upchaar ke tarike-

Pharmacotherapy

Yeh vo therapy hoti hai jisme vikar se sambandhit pharmaceutical dawaye di jati hai.

Sykotherapy  

Iss therapy mai mano-chikitsak ya mano-vaigyanik baccho mai swasthavardhak aur adhik asardar aadato ko viksit karne ke liye vaigyanik paddhtiyo ka upyog karte hai. Therapist baccho ke nakaratmak vyavharo ko samjhne ki koshish karte hai aur iske liye unke sath samay vyatit karte hai tatha unhe sakaratmak soch aur vyavhaar mai dhalne ki koshish karte hai.

Sangyanatmak Vyavhaar Therapy

Yeh Co-negative Behavioral Therapy hai. Iss prakar ki therapy ke jariye baccho ke vyavhaar ko badalne ke liye mata-pita aur shikshako ko rannitiya sikhai jati hai. Jisse veh apne baccho ko ek samanya jivan jine mai madad karte hai. Acche vyavhaar ke liye unhe puruskrit karna, har gatividhi ka samay rakhna, pratidin ke karyo ka schedule banana aadi. Inn sabhi chijo se baccho ko vikar se niptne mai aasani hoti hai.

Pariwarik Therapy

ADHD se pidit baccho ka dhyan rakhte huye mata-pita, abhibhavak aur bhai-bhan bhi ek bade tanav aur chinta mai ghir jante hai. Isliye abhibhavak prasikshan ke liye training ADHD prabandhan ke liye ek mahvpurn pahlu hai. Iss therepy mai ghar ke sadasyo ko prashikshit kiya jata hai. Jisse baccho ko vikar se niptne mai sahayata milti hai.

Samajik Koshal Prasikshan

Yaha baccho ko uchit samajik vyavhaar ka prasikshan diya jata hai. School mai samuh mai iss therapy ke satra chalaye jate hai. Jisse baccho mai samajik koshal aata hai aur unke atmsamman mai sudhar hota hai.

Inn sabhi upcharo ke liye team work ki jarurat hoti hai. Jisme baccho ke mata-pita, sikshak, chikitsak, mano-chikitsak, mano-vaigyanik aur therapist aadi milkar ek saajha prayatnn se baccho ko ADHD jaise vikar se nijat pane mai madad karte hai.

ADHD se pidit vyayasko mai accha pradarshan karne ki yogyata ho hoti hai, lekin unhe samanya logo ki apeksha ati-rikt urja aur prayatnn karna padta hai. Yeh aapko pareshan karne wala ho sakta hai. ADHD ko samjhkar aap iss antar se nipat sakte hai aur samany zindagi jine ki aur agrasar ho sakte hai.

Upper aapne jana ADHD in Hindi, yeh anya bimariyo se thodi ala gaur samanya hai, kyoki iske lakshano hum aasani se samjha sakte hai lekin samjh nahi patehai. Aisi kisi bhi paristhiti se agar apke bacche jujh rahe hai bina samay vyarth kiye kisi mano-chikitsan ya baal-chikitsak se paramarsh jarur lena chahiye.

Loading...

You may also like...