Akelapan Pahucha Sakta Hai Aapko Kafi Nuksaan

Aap apne parivar aur dosto se kitna milte hai yeh baat aapki sehat ko bahut jyada prabhavit karti hai. Ji haa, akelapan aapko na sirf mansik roop se balki sharirik roop se bhi bimar bana sakta hai. Akelepan ki samasya puri duniya mai tezi se badh rahi hai, visheshtour par bujurgo mai akelepan ki samasya tezi se badhti dekhi ja sakti hai.

Akelapan yani loneliness aapki soch ko iss kadar prabhavit karta hai ki sehat bhi iske shikanje mai fans jati hai. Yaha yeh batana bhi jaruri hai ki apni iccha se akele rehne alag baat hai aur samuh mai rehte huye bhi akelapan mahsoos karna puri tarah se ek alag baat hai.

Darasal jivan mai kai logo ke hote huye bhi aap akelapan tabhi mahsoos karte hai, jab aapko logo se conect karne ke liye koi support system nahi mil pata hai. Aise mai jahir hai ki apni uljhane se aap mann-hi-mann guthamguttha hote hai. Aur phir apne bhitar ke gubar ko nikal mann ko khali karne ke liye koi nahi milta. Aage chalkar isse aapka sharirik aur mansik swasth buri tarah se prabhavit hota hai.

You may also like:- Healthy Habits for Life: Janiye Swasth Rahne Ka Raaz

Kai shodh bhi iss baat ki prashthi kar chuke hai. Ek university ek anusar kiye gaye adhyayan mai samajik tour par sabse milne julne aur saath rehne wale log akelepan ke shikar logo ki tulna mai 50% tak adhik ji pate hai. Akelapan sharir ko thik utna nuksaan pahuchahta hai, jitna ke din mai 15 cigrrate pine se sharir ko hota hai. Iss shodh mai shodhkartao ne 308,849 logo par 148 baar adhyayan kiya hai.

To aaiye jante hai akelepan ka ahsaas aur isse hone wale swasth sambandhi samasyaye.

Kese Akelapan Karta Hai Aapko Bimar?

Loneliness Effect On Health
Doctor pehle se yeh baat jante hai ki akelepan se avsad, tanav, vyakulta aur atmavishvaas mai kami jesi mansik samasyaye hoti hai. Lekin aise tathya bhi mile hai ki akelepan se sharirik bimariya hone ke jokhim bhi badh jate hai. Yaha tak ki isse kuch bimariyo ke hone aur age chalkar unke khatarnak roop le lene ki ashanka hoti hai. Halaki shodhkarta yeh pata lagane ka prayas kar rahe hai ki akelapan sharir par aisa kya asar dalta hai jo logo ko bimari aur mout ki aur dhakel deta hai.

Saal 2006 mai stan cancer se pidit 2800 mahilao par huye gaye ek adhyayan se pata chala hai ki aisi rogi jo tulnatmak roop se parivar ya dosto s kam milti thi, unki bimari se mout ki ashanka 5 guna tak adhik thi. Lambe samay tak doctoro ko yeh baat samajhne mai pareshani hoti rahi ki akelepan ka swasth par kitna prabhav padta hai. Lekin ab yeh pata chal chuka hai ki rogi ke samajik bartav ko samajhna behad jaruri hota hai.

Shikago university ke manovaigyanik ne paya hai ki samajik roop se alag-alag logo ki pratirodhak kshamta mai badlav aane lagta hai. Aur phir yeh hi badlav unme sthai sujan aur jalan ka karan banta hai. Yeh sach hai ki kisi ghav ya sankraman ko thik hone ke liye alpkalik sujan aur jalan hona avashyak hota hai, lekin yadi yeh sujan lambe samay tak rahe to hradayvahini ke rog aur cancer ka karan ban sakti hai. Badi sankhya mai swasth logo mai subah aur sham ke waqt cortisol ki matra ki janch kar vaigyaniko ne yeh bhi paya ki akelepan ka shikar logo rojmarra ke kaamo ko adhik tanavkari pate hai.

Aise Mai Hoti Hai Madad ki Jarurat

Agar aap akele rehte hai to sthai swasth sambandhi samasya ke bavjud aapki sujan aur jalan badh sakti hai. Akelepan le shikar logo ki sankhya puri duniya mai tezi se badh rahi hai. Inme se adhikansh logo bujurg hai jinke parivar dur chale gaye hai. Goratlab hai ki 75 saal ki umra ke aadhe log Britain mai akele rehte hai aur 10 mai se 1 gambhir roop se akelepan ka shikar hai.

Akele hone ka matlab sharirik roop se akele hona nahi hai, balki logo ke saath judav mahsoos na hina ya parvah na kiye jana hi akelapan hai. Isliye hume jald akelepan ke shikar logo ki madad ka tarika dhundana hoga. Kyuki hum sabko yeh nahi keh sakte ki bahar niklo aur koi chahne wala dhundo. Hume aise logo ke liye koi sahayak network banane ki jarurat hai.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...