Janiye Kuch Khas Low Calorie Indian Food in Hindi
Hamare sehatmad jivan ke liye sahi aahar ki mukhaye bhumika hoti hai. Isliye hume aisa aahar khana chahiye, jo calorie mai kam hota hai aur saath hi aapke liye bahut swasthvardhak bhi hota hai. Kyoki iss prakaar ka aahar aapke liye har tarike se faydemand hota hai.
To aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Low Calorie Indian Food. Jisse aapko yeh jankari mil jayegi ki aapki sehat ke liye konsa aahar accha hota hai. Saath hi kis aahar mai kitni calorie hoti hai.
Vishv istar par yeh mana jat hai ki, bhartiyo bhojan masaledar, oily aur aasani se hajam na hone vala khana hai. Par kya yeh sach hai, hum kuch parsidh, jaykedaar, swadist vyanjano par ek najar dalte hai, jo swadist to hai aur aapke swasth ke liye bhi acche hai. Iske liye aapko kuch cheezo ko dhyan mai rakhna hoga.
Haal mai hi huye ek research mai yeh baat samne aai hai ki, agar lambe samay tak kam calorie ka poshtik aahar liya jaye to bdhti umra ki baujud dil ki kshamta behtar bani rahti hai.
America ke Washington ke research school mai yeh bataya hai ki, manushaye mai baar kam calorie vale bhojan se budhapa der se aane ki baat samne aai hai.
Report ke anusaar 25 aise vyakti ka chunav kiya gaya hai, jinhe lagbhag 6 varsh tak santilit lekin kam calorie ka bhojan diya gaya , jabki 25 logo ko aamtor par khana diya gaya hai. Tab yeh baat samne aai hai ki, jin logo ko kam calorie vala khana diya hai, vo bahut jayad swasth hai.
Isliye aaj sare bhartiye ko yeh jankari mil jayegi ki , konsa Indian food sehatmand aur calorie mai kam hota hai. To bas aaj se hi inn aahar ka sevan kijiye aur swasth rahiye.
Low Calorie Indian Food ke Dwara Rahiye Swasth
Chaanch
Low Calorie Indian Food ki baat kare to chaanch ka naam sabse pahle aata hai. Yeh swadisht aur gadha dariy product sbhi dish ke saath khaya ja sakta hai aur privaar ke sadasyo ko bhi bahut pasand aata hai. Isme calorie ki matra prati gilaas 30 calorie hoti hai. Saath hi hum bol sakte hai, low calorie food weight loss mai faydemand hota hai.
Ragi Dosa
Yeh ek lokpriye dakshin bhartiye pakvan hai. Chawal se nahi ragi se banaye jata hai, Isliye ise low calorie Food kaha jata hai. aur dosha khane valo ka sabse pasandida bhojan hai. Jo ki bahut sehatmant hota hai. Isme Calorie ki matrap- prati dosa 87calorei
Oats Ki Idli
Subah ke nashte mai agar idli mil jaye to kya baat hai. Yeh bhi dakshin bhartiye dish hai aur ise garam-garam sambhar ke saath khaya jaye to yeh aur bhi swadist lagta hai. Agar aap swasth ko khayal mai rakh kar oats ki idali banaiye. Isse aapko bahut fyda milega. Isme calorie ki matra-Prati idli 26 calorie hoti hai.
You may also like:- Oatmeal Health Benefits: Oats Swasth ke Liye Laabhdayak
Chicken Tikka
Yeh pakvan videshiyo ke beech mai kafi prasidh hai. Ise banane ke liye nishchit matra mai masaale ka use kijiye. Isme calorie ki mtra-prati 273 calories.
Papad
Papad ko aap garam tel mai nahi balki microwave mai bina tel ke back kar sakte hai. Microwave mai paka papad bin tel ka hota hai aur aapki sehat ke liye bhi accha hota hai . Calorie ki matra- prati papad 52 calorie
Tandoori Roti
Puri tarah se gehu se taiyar tandoori Roti ek bahut swadist pakvan hai. Yeh mitti ke tandur mai pakaya jata hai. Agar ise tandur chicken ke saath khaya jaye to khane mai naya swad aa jata hai.
Mix Vegetable Curry
Mix vegetable curry swadist aur lajeez pakvan hai, jo ek chammach se kam tel mai hi taiyar ki jati hai. Isme calorie ki matra-100gms mai 95 calorie hai.
Fish Curry
Bharat teen tarah se samudra se ghira huya hai iski vajah se hum acchi matra mai fish mil jati hai. Ise halke masale aur kam tel mai pakiye. Calorie ki mtra-ek chhoti katori ke liye 323 calorie.
Low Calorie Indian Food mai Chupe Hai Sehatmand Rahne Ke Raaz
Ankurit Salad
Ankurit salad sehat ke liye accha mana jata hai. Isse thoda nimbu ke ras aur chutki bhar masale dale aur khaye isse aapko bahut swasth bhojan milega. Calorie ki matra-100 gram prati 93 calorie.
Raita
Kakdi ka Raita pachantantra ke liye bahut accha bhojan hai. Rayte ke dahi mai risorsful enzyme hote hai, jo ki aapke liye bahut faydemand hoat hai. Calorie ki matra- ek chhoti katori mai 38 calorie.
Palak Paneer
Palak mai iron ki bahut adhik matra hoti hai aur paneer ek swasth dairy utpadan hai. Palak shakahari aur mansahari ke beech sabse jyada pasand kiye jane vala pakvan hai. Calorie ki matra prati katori 189 calorie.
Ceremony
Dakshin bhartiye pakvano mai masale mai kai jayka rahta hai. Kuch sabjiyo ko kat ke masale daal dijiye aur ek shandar pakvaan taiyar.
Dhokla
Dhokla ek gujrati pakvaan hai. Ise fermented besan ko stream karke pakaya jata hai. Isme Calorie ki mtara- 22 calorie hoti hai.
Lemon aur Rice
Masaale aur tel ki jarurat nahi bas toda sa lemon aur rice taiyar kar lijiye. Yeh bahut low calorie vala sabse accha food. Isme Calorie ki matra-185 calorie.
You may also like:-Health Benefits of Lemon – Janiye Nimbu ke Anmol Fayde
Gajar
Gajar khane se keval aankhon hi swasth nahi hoti, iss sabji se sehat bhi acchi rahti hai. Gajar ko do baar bhojan ke samay liye ja sakta hai. 1 madhyam aakar ki gajar mai 35 calorie hoti hai.
Coffee
Black coffee mai zero calories hoti hai. Hlaki jyada coffee ka sevan sehat ke liye kharab hot hai. Coffee ko simit matra mai sevan kijiye. Din mai 2 cup coffee ka sevan kiye. Isse zero calorie milti hai. To hum bol sakte hai ki, Low Calorie Indian Food mai coffee ki mukhaye bhumika hai.
You may also like:- Exciting Health Benefits of Coffee, Your Favorite Morning Drink
Tamatar
Tamatar mai lycopene hota hai, jo cancer se ladne mai madad karta hai. Iske saath hi tamoto mai vitamin C ki mukhaye bhumika hoti hai. Isme 22 calorie hoti hai. Isliye aap aaram se ise salad ya kam tel masaale mai iski sabji bana kar kha sakte hai.
Upar aapne jane Low Calorie Indian Food. Jisse aapko iss baat ki sahi jankari ho jayegi ki aapko kon sa aahar khana chahiye, Jisme calorie ki matra bahut kam hoti hai.