Weight Loss Drinks, Paye Padarth ke Dwara Kam Kijiye Vajan
Fit aur chust rahne ke liye paye padarth ko adhik matra mai pina chahiye, lekin aise paye padarth jo swasth ke liye hanikarak hai unhe na piye. Kyoki yeh padarth vajan kam karne mai bahut madad karta hai.
To chaliye aaj is article mai hum aapko batate hai, Weight Loss Drinks. Jinke sevan se aap apne vajan ko kam karke hamesha ke liye swasth rah sakte hai. Inme juice, sup, tea aadi aate hai.
Weight Loss Drinks se Jaldi Kam Kijiye Apna Badhta Vajan ko
Lekin dhyan rahe ki in paye padarth mai chini ki matra bahut kam hona chahiye. Jisse aapko fayda milega. Yadi aap inme chini ki matra badha denge to aapko fayde ke badle nuksaan hoga.
To bas agar aap bhi apna vajan kam karna chahte hai, to aaj se hi apne weight ko kam karne ke liye inche batatye gaye drinks ka sevan shuru kar dijiye aur hamesah swsath rahiye.
Soft drink, cold drink jese paye padarth aapka vajan badhte hai. Isliye aap inn hamesha ke liye chhod dijiye. Taki aap apne vajan ko kam kar ke bahut se bimariyo se bhi bach sakte hai. Kyoki motapa ke dwara aapka weight bhi badhta hai.
Juice for Weight Loss, Phalo aur Sabjiyo ke Juice ke Dwara Kijiye Vajan Kam
Vese logo ko hamesha yahi lagta hai ki juice yani ras se motapa badhta hai, lekin ek study mai bhi yeh baat sabit ho chuki hai ki, phalo agar shud hai aur usme chini ki matar kam hai to usse aapka vajan bahut jaldi kam hoha.
Agar aap rozana khana khane se pahle juice piyenge to aapki bhuk kam ho jayegi aur aapka weight loss aasani se ho jaayega. Isliye aap rozana juice pijiye.
Nimbu ka juice
Aap rozana khali pet nimbu ka juice piye. Isse aapka vajan bahut jaldi kam hoga .Saath hi agar aap chahe ti isme shahad bhi mila sakte hai. Jisse aapko bahut fayda milega.
You may also like:- Health Benefits of Lemon – Janiye Nimbu ke Anmol Fayde
Vegetable Juice
Aap chahe to rozana vegetable juice ka sevan bhi kar sakte hai. Kyoki mix vegetable juice mai antioxidant hota hai. Jisse aapko bahut fayda milega. Lekin acche result ke liye iska sevan niyamit kijiye. Taki jaldi aapka weight loss ho jaye.
Palak ka Ras aur Apple
Juice for Weight Loss ki baat kare to, iss juice ka naam sabse pahle aata hai. 2 se 3 apple ke pise aur 2 cup kata huya palak, kosher salt, adha cup lettuce leaves aur carrot greens ko ek milaye.Fir ise pis lijiye aur ab isme nimbu ka ras milaiye.
Chukandar aur Hara Dhaniya
Thoda sa hara dhaniya, ek chhota sa bee tooth aur 1 cup kata huya palak aur ek chammach sea salt ko mix kake juice bana lijiye. Ab ise chhan kar sevan kijiye. Aap chahe to isse tasty banane ke liye isme nimbu ka juice bhi mila sakte hai.
Louki Juice
Louki ki chhote-chhote piece kar lijiye ab ise pise huye mishran mai kali mirch mila fir isko pijiye. Aache result ke liye rozana isk sevan kijiye, jisse aapko bahut fayda milega.
Niyal Ka Pani
Nariyal pani mai bhi vajan kam karne ke gun paye jate hai. Yeh refreshing hone ke saath isme calorie ki matra bhi kam hoti hai. Jiske liye aap rozana isks sevan kar sakte aur hamesha swasth rah sakte hai.
Weight Loss Soup, Iss Paye Padarth mai Chupe Vajan Kam Karne ke Gun
Beans Soup
Safed beans vajan kam karne mai bahut faydemand hota hai. Isme sugar aur sodium kafi kam matra hoti hai. Yeh poshtik aur swadist hota hai. Saath hi yeh protein se bharpur hota hai.
Brown Rice aur Chicken Soup
Vajan kam karne ke liye aap iss soup ka use kar sakte hai. Isme sodium ki matra bahut kam aur protein ki adhik hoti hai. Chicken ke saath 100 gram brown rice mix karke pis lijiye. Aar iska sevan kijiye.
Hare Pyaz aur Aalu
Vajan kam karne ke liye hare pyaz tatha alau ke soup ke dwara apne sharir ko jaruri poshak tatav de sakte hai. Aap chahe to ise green bread ke saath lekar halka nashta bhi kar sakte hai.
Gajar
Gajar ke soup ko aap dhaniye ke saath le sakte hai. Isme sugar kafi matra hota hai. Vajan kam karne vale iss 100 gram mai sirf 1.2 gram fats hi paya jat hai. Isliye aap iaka sevan aaram se kar sakte hai.
You may also like:- Gajar ke Bemisal Fayde jo Aapko de ek Swasth Jivan
Matar
Matar soup mai aap chahe to samanye matar mai apni pasnadida vegetable bhi mil sakte hai. Isme bharpur matra mai protein hota hai. Saath hi saath isme sodium aur sugar bahut kam hota hai.
Mushroom
Weight Loss Soup mai mushroom ki mukhaye bhumika hoti hai. 100 gram mashroom soup mai sirf 1.2 gram fats paya jat hai. Yeh sharir ko jruri protein pradaan karta hai aur atirik vajan ko kam karta hai.
Masoor Dal
Masoor dal ka soup bahut faydemand hota hai. Yeh protein, vitamin tatha fiber se bhara hota hai. Isme vajan kam karne ke acche gun paye jate hai. Iske niyamit sevna se aapko bahut adhik fayda hota hai.
Tamoto
Ise banana bahut aasan hota hai. Saath hi yeh bahut swadist hota hai. Vajan kam karne vale yeh diet soup aapke liye bahut fayedemand hota hai. Isme potassium, fiber, aur vitamin hote hai. Saath hi isme sugar ki mata kafi kam hoti hai. Isliye aap rozana iska sevan kar sakte hai.
Tea For Weight Loss, Chai ke Sevan se Kam Kijiye Vajan
Green Tea
Iske andar antioxidant paya jata hai, jo vajan kam karne ke liye yeh jaruri hota hai. Yeh sharir ke metabolism ko strong karta hai. Saath hi bhuk ko kam karta hai. Rozana gehu ki bread ke sath vegetable aur green tea pine se aapk vajan kam ho jata hai. Isliye rozan 2 cup green tea ka sevan jarur kare. Weight Loss Drinks mai green tea ka apna aham isthan hai.
You may also like:- Health Benefits of Green Tea Which you Should Know!!
Black Tea
Black Tea mai aise gun hote hai, jo aapke badhte vajan ko kam karte hai. Ek study mai yeh baat samne aai hai ki, dudh vali chai ki apeksh bina dudh vali chai faydemand hoti hai. Iske rozana sevan se aapka vajan kam hota hai aur saath hi aapka tanav bhi kam ho jata hai.
Herbal Tea
Herbal tea pattiyo se nahi balki herbal cheezo se bani hoti hai. Yeh kai prakaar ke taze phalo, beezo aur oushadhi ko sukha kar banai jati hai. Ise banane ke liye chini ki jarurat nahi hone ke karan vajan kam karne ki chahat vale logo ke liye beast hai. Herbal tea antioxidant se bharpur hote hai, jo aapko swasth rakhne ke saath aapke weight ko bhi kam karta hai.
Lemon Tea
Lemaon Tea ko prakritik antiseptic bhi kaha jata hai. Lemon tea ka sevan se sharir ki pratirodhak kshamta badhti hai. Yeh thakan ko dur kar tazgi ka ahsaas dilati hai. Isme mojud vitamin C vajan kam karta hai, vitamin E cell ko fir se jivit karta hai aur vitamin B sharir ke metabolism ko majbut karta hai.
Peppermints
Agar aap ek hi tarah ki chai pi pikar bore ho chuke hai to jara peppermint ki chai ka sevan kare. Iski pattiya aapke pachan ki shakti ko sudhar kar aapki calorie ko kam karta hai. Isko pine se aap hamesha trotaza rahte hai. Isliye aap rozana iska sevan kare.
Upar aapne jane Weight Loss Drinks. To bas der kis baat ki aaj se hi inn paye padarth ka sevan karke hamesha ke liye swasth rahiye aur aasani se pane vajan ko kam kijiye.