Summer Recipes in Hindi: Garmiyo Ke Liye Thande Vyanjan
Garmiyo ka mosam shuru ho chuka hai. Inn dino bhukh lagna kam ho jati hai aur kuch bhi khane pine ka man bhi nahi karta hai. Iss tarah bar bar bhukhe rehne ke karan sharir ko poshan nahi mil pata hai. Isliye hi garmi ke dino mai thakan aur aalas rehta hai. Thik se khana nahi hone par pet mai garmi bhi badh jati hai, jisse pet mai jalan, dard jaii samasya hoti hai.
Garmiyo mai aesa aahar khane ka man karta hai, jo khane mai halka ho. Jisko khane ke bad aap pareshan na ho. Garmiyo ke dino mai khane ki thodi si bhi laparvahi aapko pareshan kar sakti hai. Kyuki mosam ke badlne se aapke sharir mai rasayanik parivartan hote rehte hai. Isliye iss bhishan garmi mai rahat dene ke liye aapko sehatmad aahar ki aavshyakta hoti hai.
Wahi garmiyo mai jab tapman charam par hota hai. Tab sharir mai jalan hone lagti hai. Aur aapke pachan mai bhi samasya hone lagti hai. Isliye garmiyo mai garam khane se bachana chahiye. Yaha garam khane se matlab garam khana nahi hai balki aese padhart jo aapke sharir mai garmi utpanna karte hai jaise garam masale, chai-coffee, soup aadi.
Garmi ke dino mai halka aur sharir ko thandak dene wale aahar ka sevan karna chahiye. Isliye aaj ke iss lekh mai ham aapko Summer Recipes in Hindi mai bata rahe hai. Isse aap ghar par hi nayi nayi aur hygienic dish bana sake hai. Inn dish se aap garmi mai khud ka aur apne parivar ka khayal rakh sakti hai. Aaiye jante hai inn recipes ke bare mai.
Summer Recipes in Hindi: Ghar Par Jhatpat Banaye aur Khaye
Baccho Ki Pasandida Orange Ice Cream
Bacche ho ya bade ice cream har umar ke logo ko pasand aati hai. Aur garmiyo mai to ice-cream khane ka maja hi alag hota hai. Inn dino bacche bar bar ice-cream khane ki jid karte hai kintu bahar ki chizo ka jyada sevan nuksan dayak hota hai. Lekin iss recipe ko jankar aap ise ghar par hi bana sakti hai. To aaiye jane Ice Cream Recipe in Hindi.
Samagri: 1 cup dudh, 1 ½ cup cream, 100gm chini, ½ cup condensed milk, 1 cup santre ka juice, kuch kesar ke lacche(icecream ko sajane ke liye)
Vidhi: Sabse pehle dudh aur chini ko acche se mila le aur 15 minute ke liye rakh de. Iske bad milkmaid ko kaafi acchi tarah fet le. Aab dudh mai milkmaid aur santre ka ras dalakar acche se ek bar aur fet le. Cream ko bhi acche se fete aur taiyar mishran mai mila de.
Iske upar kesar ke lacche dalkar saja de aur fridge mai jamne ke liye rakh de. Jami hui ice cream ko aapki pasand ke aakar la katle. Uske upar santre ki slice ko upar saja kar serve kare.
Swadisht Shrikhand
Shrikhand ka naam sunte hi muh mai pani aane lag jata hai. Aur yeh swasth ki dhrsti se accha bhi hota hai. Isliye garmi ke dino mai cold drinks aadi ka sevan karne se accha aap shrikhand jaisi chize apne parivar ko khilana chahiye.
Samagri: 2 kg taja dahi, meve ki katran, chutki bhar jaifal powder, kesar ke lacche, 1 chammach Ilaichi powder, swadanusaar shakkar, kuch angur!
Vidhi: Shrikhand banane ke liye sabse pehle taje dahi ko suti kapde mai bandhke latka de. Dahi ka pura pani nikal jane de. Fir usme shakkar mila de. Shakkar ko acche se ghul jane ke bad dahi ko chan le.
Aadhe chammach dudh mai kesar dalakar kuch der ke bheego de aur ghot le. Ilaichi powder, meve ki katran, jaifal powder aur ghuti hui kesar sabko milakar acche se mix kar le. Aapka shrikhand taiyar hai. Isko kuch samay ke liye fridge mai rakh de. Aapka swadisht shrikhand ko angur dalkar serve kare.
You May Also Like:- Summer Drinks in Hindi – Sharir Ko Shitalta Pradan Kare
Garmi Se Rahat De Fruit Mocktail
Jab bhi aap dhup se aate he to kuch tanda pine ka man karta hai. Aese mai fruit mocktail behtar vikalp hai. Yeh sharir ko thandak dene ke sath sath urja bhi deta hai. Garmi ke dino mai mehmano ko bhi aap ise serve kar sakti hai.
Samagri: 1 cup strawberry, 1 cup kata hua kela, 1 cup kale angur, 1 cup pineapple, 2 cup chini, aadha cup nimbu ka ras, 1 bada chammach adarak ka ras, aur thodi kuti hui barf!
Vidihi: Sare phalo ko pehle kat le aur fir ek sath mixer mai dale. Fir shakkar aur pisi hui barf dalkar mixer mai pees le. Pise huye ras mai nimb aur adrak ka ras dalkar acche se shake kar le. Ab glass mai mock tail ko nikal le. Fruit mocktail ko upar se strawberry dalkar sajaye.
Aap pineapple ya nimbu ki gol slice katkar straw par lagaye. Thandi thandi mockatail taiyar hai. Aap bhi piye aur dusro ko bhi pilaye.
Seb aur Kheere Se Bana Chat
Seb aur kheera dono hi sehat ke liye bahut accha hota hai. Kyuki isme kai poshak tatv hote hai. Ye garmiyo mai aapke liye bahut accha hota hai. Kheera aapke sharir mai pani ki kami bhi dur karta hai.
Samagri: 1 Kheera, 1 seb, 2 chammach barik kata hara dhaniya, aadhe nimbu ka ras, 1 ubla hua aloo, aadha cup ankurit mung, 2 bade chammach bhune huye mungphali ke dane, swadanusar namak, pisi kali mirch!
Vidhi: Kheera kakdi ko gol aakar mai kaat le. Ankurit mung ko thoda sa pani lekar 2 minute ke liye ubal le. Ab uble huye aloo aur seb ke tukde kat le. Fir ek plate mai ankurit mung ka pani nikalkar aloo seb aur kheera kakadi, bhune huye mugphali ke dane mila le. Iske upar sabhi masale aur dhaniya dal de. Aapki subah ke nashte ke liye tyar hai poshak seb aur kheera mix nashta. Aapke parvar walo ki sehat ka khyaal rakhte huye unhe nashte mai aap serve kar sakti hai.
You may also like:- Jaljeera Benefits in Hindi: Garmi Ke Mousam Mai Jarur Piye
Pet Ko Thandak De Aam Panna
Aam ka panna na keval swadhish hota hai balki kai guno se bhi bharpur hota hai. Yeh aapke pet ko thandak pahuchata hai aur garmiyo mai loo lagne se bhi bachata hai. Niche dekhiye Aam Panna Recipe in Hindi.
Samagri: 1 kaccha kata hua aam, ½ cup gud, 5-6 lal mirch, ½ chammach rai, 8-10 kadi patta, ½ cup nariyal bura, thoda sa hara dhaniya, namak swadanusaar!
Vidhi: Kacche aam ke tukdo ko ek tapeli mai pani lekar dal de. Aam ko tab tak ubale jab tak ki aam acche se gal jaye. Uske bad ek dusre katore mai gud dale aur usme pani dalakar use mila le. Gud ko masal kar paste bana le. Ab iss pani ko chhan le. Uble huye aam ko mixer mai pees le.
Sath mai lal mirch, nariyal ka bura dalkar bhi pees le. Ab ek fry pan mai thoda sa tel dale. Usko garam hone ke bad usme rai aur kadi patta dale. Iske bad isme gud ka pani dalkar ubal le. Isme aam ka paste dale. Ab 1 cup pani aur thoda sa namak mila de. Sajane ke liye hara dhaniya dale. Ab ise chawal ya roti ke sath serve kare aur khaye.
Aam Ka Murabba
Jab humne aam ki recipe ki upar baat ki hai to aam ke murbbe ko kaise bhul sakte hai. Abhi aam ka mosam chal raha hai. Aam ka murbba kai logo ko bahut pasand aata hai. Aaiye jante hai ise banane ka tarika.
Samagri: 1kg aam, 2 chammach namak, 10-12 kesar ke lacche, 1kg chini, aur 4-5 ilachi!
Vidhi: Aam ko dho kar uske bade bade tukde kar le. Aam ke tukdo mai kai sare chhed bana dijiye. Ek bartan mai pani lekar usme aam ke tukde dal de. Aur uper se thoda sa namak dalkar 12 ghante ke liye rakh de. Ab aam ko bahar nikale. Ek bartan mai itna pani rakhiye ki aam ke sare tukde aache se dub jaye.
Pani ko kam se kam 3-4 minute tak ubale. Ab kisi bartan mai aam ke upar kesar aur shakkar mila kar 2 din ke liye rakh de. 2 din bad aap dekhenge ki chini ka ghol ban gaya hai. Ab ise tab tak garam kare jab tak ki shakkar ka ghol gada na ho jaye. Ab chashni ko aapke anguthe aur ungli ke bich mai lagakar dekhe ki chasni ka ek tar ban raha hai ya nahi. Yadi tar ban jaye to ghol ko aanch se niche utar le. Aapka murabba taiyar hai. Ise thanda hone ke bad serve kare.
Upar aapne jana Summer recipes in Hindi. Ab der kis baat ki jaldi se try kijiye aur apne parivar walo ko khilaye. Yeh sehat ke liye bhi acchi hai.