Yoga for Eyes in Hindi: Aankho Ki Roshni Badhaye
Aankhe hamare sharir ka sabse upyogi anga hai. Isi ke jariye ham iss khubsurat duniya ko dekh sakte hai. Yeh hame na keval dekhne mai madad karti hai balki hamari sundarta ko badhane mai bh mai bhi madadgar hai. Aapki aankhe tabhi khubsurat dikhti hai jab yeh swasth ho.
Yadi aapki aankhe swasth nahi hai aur inki dhrsti kamjor hai to aapki aankhon par bade bade mote mote chashme lag jate hai. Jisse aapki khubsurati kam ho jati hai. Vaise to umra ke sath aapki aankhe kamjoor hona aam baat hai. Lekin aajkal to kam umra ke baccho mai bhi yeh dekhne ko mil raha hai.
Aankho ki roshni kam hone ke piche ka pramukh karan manspeshiyo ka dhila ho jana hai. Yadi yeh manspeshiya swasth rahe to aapki aankhon ki roshni kam nahi hogi. Aankho ko swasth banaye rakhne ke liye yog ko apni dincharya mai shamil kare.
Yoga se aap aapki aankho ki roshni ko kam hone se rok sakte hai. Isko karne se aap nikat drishti dosh aur dur drshti dosh dono se nijaat pa sakte hai. Sirf aankho ke liye hi nahi rojana 1 ghanta yoga karna aapko kai bimariyo se dur rakhta hai. Yoga se jeevan mai nayi urja ka aagman hota hai. Aap nakaratmak soch ko chhoudakar sakaratmak soch ki taraf aage badte hai. Aaiye aaj ham jane Yoga for Eyes in Hindi.
Yoga for Eyes in Hindi: Jane Vidhi aur Labh
Nasikagra Drishti Mudra Yoga
Nasikagra ka matlb hota hai naak ka aakhri chor ya upari hissa. Iss bhag par santulan banate huye bar bar dekhte rehna hi nasikagra drishti mudra yoga kehlata hai. Isko karne ke liye yog guru ki sahayata jarur le. Kyuki kai bar isse karne se bhrikutee par jor padta hai.
Karne ki Vidhi:-
Kisi bhi aasan mai behte aur naak ke aakhri sire par najar tika le. Ho sakta pehle bai aap use bayi aankh se dekh paye fir thodi der bad dayi aankh se. Dhyan rakhe ki isko karne mai aankhon par jyada tanav na aaye aur badi sahajta se kare. Iss mudra ko tab tak hi kare jab tak aapki aaknon par jyada dabav na pade.
Iss mudra ko karne se aankhon ka vayayam ho jata hai. Yeh ek acchi Yoga Exercises for Eyes hai. Yeh mudra aankho ke sath sath mastishk ke liye bhi labhdayak hai. Iss mudra ko lagatar karte rehne se aankho ki roshni badti hai.
You May Also Like:- Home Remedies for Dark Circles: Aankho Ke Kale Ghere Hataye
Sarvangasana
Sarvangasana mai sharir ke sare ango ka vyayam ek sath ho jata hai. Isliye isse sarvangasana naam diya hai. Yeh aapki aankhon ke aas paas ki manspeshiyo ke rakt sanchaar ko badata hai jisse aankho ki roshni badti hai aur aapko aankho se judi koi samasya nahi hoti hai.
Karne ki Vidhi:-
Iss aasan ka abhyas karne ke liye saaf aur hawadar jagah chune. Sabse pehle jamin par peeth ke bal let jaye. Ab saans lete huye dheere dheere dono pairo ko upar uthate huye 90 degree tak le jaye. Iske bad kamar ko jameen se uthakar dhad aur pairo ko 90 degree tak le aaye. Hatho ko kamar par rakhkar use sahara de. Fir saans lete rahe aur chhodte rahe.
Jab tak aaram mehsus kare tab tak iss stthi mai ruke aur gahari saans le.Yeh abhyaas shuru mai 10 second tak kare fir dheere dheere iska samay badha kar 5 se 10 minute tak kare.
Savasana
Iss aasan ko karne mai aapki shari ki sari manspeshiyo ko aaram pahuchta hai sathi hi sari thakawat dur ho jati hai. Iss asana ko savasana isliye kehte hai kyuki isme aapka sharir shav ki tarah pada rehta hai.
Savasana ko karne ke liye sabse pehle pith ke bal let jaye aur aapke hath, pairo ko dhila chhod de. Tatha apne hatho ko sharir se sata ka rakh le. Iske bad aakhon ko band kar le. Iss aasan ko karne se saans aur dil ki dhadkno ki gati samanya hoti hai aur aakhon ko aaram pahuchta hai. Iske alawa savasana ko karne se aakhon ki roshni bhi bad jati hai.
You may also like:- Home Remedies for Watery Eyes: Aankhon ka Pani Dur Kare
Pranayam
Pranayam ko miyamit abhyas aakhon ki roshni aur mansik swasth ko banaye rakhta hai. Isee karne ke liye sabse pehle dhyan mudra mai baith jaye. Sath hi dhyan rakhe ki kamar aur gardan ek sidh mai ho. Iske bad aankhe band kar le aur fir lambi lambi saanse le aur chhode. Iss kriya ko lagatar karne se aapki aankho ki roshni badegi.
Dev Jyoti Mudra
Hatho ki ungliyo se vishesh prakar ki aakar ka banna hi hast mudra kehlata hai. Jo vyakti yogasan aur paranaym karne mai saksham nahi hai. Wo aankho ki roshni badane ke liye hast mudra ka bhi istemal kar sakte hai.
Kya aap jante hai hatho ki sari ungliyo mai pancho tatv mojud hote hai. Jaise aghuthe mai agni tatva, tarjni ungli mai vayu tatva, madhya ungli mai aakash tatva, anamika ungli mai prathvi tatva, kanishka ungli mai jal tatva hota hai.
Hast mudra kai tarah ki hoti hai jisme dev jyoti mudra ko karne se aankho ko labh milta hai. Yoga for Eyesight ke liye iska bhi bahut mahatva hai. Iss yoga mai tarjani ungli ko modkar use anguthe se daba le. Yeh mudra jyoti ke saman dikhai deti hai. Isliye isse dev jyoti mudra kehte hai.
Iss mudra ko karne se kam dikhna, aankhon mai jalan, sujan jaise rogo se nijat milti hai. Yeh mudra aankho ki roshni ko badane mai madad karti hai. Jin baccho ko kam umra mai chashma lag gaya hai wo rojana iska abhyaas kare.
Upar aapne jana Yoga for Eyes in Hindi. Inn aasano ka abhyas karke aap apne aankho ki roshni badha sakte hai aur swast sundar aankhe paa sakte hai.