Kayam Churna in Hindi – Pet Ki Pareshani Kare Chumantar
Humare desh sadiyo se hi ayurvedik aur jadi-butiyo mai vishvas rakhta hai. Aaj chahe hum 21vi shatabdi mai pravesh kar chuke hai, lekin aaj bhi humara vishvas unn par kam nahi huya hai. Bahut se aise aushdhi yukt padarth hai jinka sevan hum aaj bhi karte hai aur unka asar aaj bhi barkarar hai. Aise hi ek churn hai jiska upyog humare ghar pariwar mai saalo se hota aa raha hai. Jiska naam hai Kayan Churn.
Kabj, pat ki gas aur pachan sambandhi samasyayo se chutkara pane mai iss ayurvedit jadi-butiyo se mishrit churn ka bahut sahyog raha hai. Iske naam sirf bharat mai nahi balki pure vishv mai famous hai. Iski gunvatta aur isse hone wale faydo ko dekhte huye adhiktar log iska upyog karte hai. Acidity Problem se chutkara dilane mai to yah sahayak hai hi, sath hi yah pet ki anek pareshaniyo ko bhi dur karta hai.
Kayam Churn ek paramparik ayurvedik dawa nahi hai arthat iske bare mai kisi ayurvedik kitab mai koi vivran hai. Kayam Churn ke formule ka nirmaan ki shuruvaat Bhavnagar sthit ‘Seth Brothers’ dwara kiya gaya hai. Jo aaj se nahi balki kai varsho se bajar mai apni pakad banaya huya hai. Aaiye jante hai Kayam Churna in Hindi, se sambandhit kuch anya baato ko.
Kayam Churna in Hindi: Janiye Iske Istemal Ka Tarika, Labh aur Haniya
Bharat Ka No. 1 Brand
Bharat ke bade-bade shahro jaise Mumbai, Delhi, Pune, Jaipur aadi kai shahro mai kiye gaye serve mai ayurvedik dawaiyo ke utpadano ki shreni mai Kayan Churn ko desh ka sabse adhik lokpriya aur vishvasniya No. 1 brand ghoshit kiya gaya. Yah serve “No. 1 Brand Awards-Counseling (USA) evan International Brands Consolation” dwara karai gayi thi.
You May Also Like:- Constipation Home Remedies: Kabj Se Bachne Ke Gharelu Nuskhe
Haal hi mai Mumbai sthit Hotel Hyatt Regency mai iss award samaroh ka aayojan kiya gaya, Seth Brother’s ke Ashok Bhai Seth aur Deven Bhai Seth ko Dr. S.K. Nanda dwara yah award pradan kiya gaya.
Award prapt karne ke paschat Shri Deven Bhai ne kaha ki yah humare liye aur desh ke liye pratishtha ki baat hai. Unhone kaha, Bharat evan Bharat ke bahar sthit humare santusht grahko ke karan hi hum iss samman ke hakdar ban paye hai. Deven Bhai ne kaha ki hum kisi bhi business ko top par pahuchane ke liye do baate bahut mahatvpurn hoti hai, ek hai product ki gunvatta evam dusri grahko ka product par vishvas. Unhone bataya ki pichle 45 saalo se Kayam Churn bajar mai upasthit hai, lekin aaj bhi humne apni gunvatta banai rakhi hai, jisse grahko ka vishvas hum par kayam hai aur hum iss award ke hakdar ban paye hai.
Kayam Churan Mai Upyog Hone Wali Samagri
Kayam churan banane ke liye kai prakar ke samanya vriksha ke ansh aur jadi-butiyo ka istemal kiya jata hai. Inn jadi butiyo ki matra bhi simit hoti hai, jisse aapke sharir ko fayda mile aur pareshaniyo se mukti mil sake.
Isko banane mai laxative herbs yani rechak herbs ka sayojan kiya jata hai aur isme sabse adhik matra mai 50 pratishat sanay ki patti ka istemal hota hai. Sanay ka swad kasela, kadwa, tikha tatha garmi paida karne wala, jigar ke liye dawa ke saman aur pitt strav ko badane wala hota hai. Isme upyog kiya jana wala kala namak, pat mai dard, pat mai tumor, kabj aur pat ke hone wale kido se bachav mai faydemand hota hai.
Ajwain garm, kadvi, vaat harne wali, bhook badane wali aur rechak hai. Sajji shar, ulti-dast, pat fulne ke sath-sath apach ki samasya mai bhi upyogi hai. Isi tarah se harad, mulethi, nishodh aadi bhi dastawar aur rechak hai. Aaiye jante hai isko banane mai upyukt ghatko ki matra –
Sonamukhi ya Sanay ki Pattiya – 50%
Kala Namak – 18%
Ajwain – 11.5%
Himej ya Harad – 8%
Sajji Shar – 5%
Mulethi – 4.5
Nishoth – 3%
In sabhi ko ghatko se milakar banta hai kayam churan, to sochiye jab itni aayurvedik samagri isme hogi to yah labhkari to hoga hi.
Kyam Churan Dosage: Jane Iske Upyog Ka Tarika
Kyam churan powder ko rat mai sone se kuch samay purv 3-6 gm ki matra mai ya phir 1-2 choti chammch mai lekar garam pani ke sath sevan karna chahiye. Iske churn ka upyog 6gm ki matra se adhik nahi karna chahiye. Kai baar logo ko churn lene mai paresani bhi hoti hai, isliye aapki suvidha ko dhyan mai rakhte huye Kyam Churan Tablet bhi bajar mai bajar mai uplabdh hai.
Yadi aap iski tablet le rahe hai to aapki smasya ke anussar 1-2 tablet hi le. Agar aapko adhik pareshani nahi hai to keval 1 tablet hi le aur yadi aap pet ki adhik samasya se gujar rahe hai to 2 tablet le sakte hai, parntu eksath jyada tablet ka sevan ek sath na kare. Kayam churan tablet ko bhi aap garam pani ke sath le sakte hai. Aap bhi bataye gaye Kyam Churan Dosage ka hi upyog kare, kyoki adhik matra mai sevan hanikarak ho sakta hai.
You May Also Like:- Gharelu Nuskhe for Loose Motion: Dust Se Relief Paye Inhe Apnaye
Kayam Churan Benefits: Janiye Iske Labh
Kayam Churn Benefits to aap bhi bahut acche se jante hai. Phir bhi hum aapko iski jankari de rahe hai. Summer Season yani garmi ke mausam mai kai prakar ki pareshaniya janm lene lagti hai khaskar sar dard, muh ke chale aur pet ke rog. Aaiye jante hai isse hone wale sharirik labh-
- Kitna hi purana kabj kyo na ho use dur karne mai sahayak hai.
- Acidity aur pat mai hone wali gas ko dur karta hai.
- Sardard aur Muh ke chalo ko thik karta hai.
- Pat ki jalan aur pitt ki samasya se mukti dilate hai.
Savdhaniya
Yah to vidhi ka vidhan hai ki har chij ki ati dukh-dayak hoti hai, isliye kisi bhi padarth ya dawa ka sevan nirantar nahi karna chahiye. Kyam Churan ka bhi niyamit sevan dukh ka karan ban sakta hai, isliye nirantar isek upyog se bache aur jarurat padne par ki iska upyog kare. Agar aap lagatar ise le rahe hai to kisi doctor se paramarsh avashya leve.
- Kyam churn ke 1-2 chammach se adhik matra mai sevan karne se dast aur sharir mai pani ki kami ho sakti hai. Sath hi iske adhik sevan se pet ki ranjak yani Pigmentation of the colon aur liver bhi kharab ho sakta hai.
- Garbhvati mahilao ko iska sevan nahi karna chahiye, kyuki isme kai prakar ki garm samagri hoti hai, jo grabhvati mahila aur hone wale bacche par dushprabhav dal sakta hai. Isliye garbhavastha ke samay iska sevan bilkul nahi kare. Kai baar isko lene se garbhpaat bhi ho sakta hai.
- Chote bacche yani 12 sal se kam umra ke baccho ko kayam churn kabhi nahi dena chahiye.
- Yadi Mahavari ki vajah se pet dard ho rha hai to iska sevan na kare.
- Lambi avdhi ke liye iska upyog shukranuo ki sankhya aur gunvatta ko kam kar sakta hai. Sath hi madhumeh, ucch raktchaap ya hyperkalemia se grasit logo ko bina doctor ke paramarsh ke iska sevan nahi karna chahiye.
Aaj humne aapko Kayam Churna in Hindi, ke kai sare fayde aur nuksaan ke bare mai jankari pradan ki hai. Yah kabj aur pet ki samasya ke liye bahut hi behtar upay hai, lekin iski ati aapke lieu nuksandeh sabit ho sakti hai. Agar aap acidity ki samasya se juh rahe hai, to aap kayam churn ka kabhi-kabhi sevan kare tatha iss pareshani ko dur karne ke liye adhik se adhik fiber yukt aahar ka sevan kare. Kyuki fiber yukt aahar aapko nirogi tatha kabj ki samsya se rahat dilane mai sahayak honge.