Manicure at Home in Hindi: Hatho Ki Khubsurti Badhaye

Saaf suthre aur khubsurat hath mahilao ki khubsurati ko bada dete hai. Shayad yahi wajah hai ki aajkal ki mahilaye keval chehre ki hi nahi balki pure sharir ki khubsurti par dhyan dene lagi hai. Ham sabhi jante hai ki yadi kisi mahila ke hath khubsurat ho to wo bhi logo ko aakarshit karte hai.

Aapke saaf suthre hath aapke vyaktitva ko darshate hai. Jab bhi aap kisi se hath milate hai ya fir kisi ko khana serve karte hai sare kamo mai hamare hatho ka mahtvpurn yogdan hota hai. Kyoki hum hatho se hi sara kaam lete hai. Isliye inko rojana dekhbhal karna bhi jaruri hai.

Hatho ko khubsurat dikhane ke liye hatho ki safai hona bahut jaruri hai. Jiske liye mahilaye parlor mai jakar manicure karwati hai. Manicure karwane se hatho ki uchit dekhbhal hoti hai, jisse wo sundar dikhte hai.

Lekin bar bar parlor jana na hi possible ho pata hai, upar se isme kaafi paise bhi kharch hote hai. Isliye aaj ham aapko Manicure at Home in Hindi bata rahe hai. Isse aap bina paisa bahaye ghar par hi ise kar sakti hai. To aaiye jante hai iske tariko ke bare mai.
 

Manicure at Home in Hindi: Jane Ghar Par Karne Ke Aasan Tarike

 
Manicure at Home in Hindi
 
Hatho ke sundar hone ke liye teen baato par dhyaan dena bahut jaruri hai. Pehli hatho ki twacha ka komal hona, dusri ungliyo ka aakar sundar ho aur tisri nakhun saaf suthre aur sahi aakar mai ho. Hatho se sara kaam hota hai isliye sabse jyada nuksaan hatho ki twacha ko hi hota hai. Dhul, mitti aur pani aadi lagne se hatho ki twacha rukhi aur kharab hoti hai.

Iske atirikt rojmarra ke kaam jaise kapde dhona, bartan manjana aadi ke liye istemal kiye jane wale sabun mai moujud rasayan bhi hamare hatho ki twacha ko nuksan pahuchate hai jisse wo sundar nahi dikhte hai. Hatho ki sundarta ko barkarar rakhne ke liye ham aapko bata rahe hai How to do Manicure at Home in Hindi.
 

Halke Gungune Pani Se Kare Safai

Ek tub mai halka gunguna pani le aur uske andar thoda sa shampoo dale aur dono hatho ko tub mai dalkar 5 minute tak rakhe. Yadi aapke nakhuno par nail polish lagi hai to use remover se nikal le uske bad hatho ko tub mai dale. Naram brush ka istemal kar usse nakhuno ke aaspas halke hatho se ragde fir hatho ko pani se bahar nikal le aur towel se hatho ko ponch lijiye.

Nakhuno ke upar ki aur aai hui twacha ko savdhani ke sath kate. Iske bad hand creams se ungliyo hatho aur baho tak kuch der tak massage kare aur rui ko cream se saaf kar le. Yadi aapko lagta hai nakhun bade hai to usse nail cutter se kat kar accha sa aakar de.
 

You may also like:- Pedicure At Home in Hindi: Ghar Par Pairo ki Khubsurti Nikhare

 

Jane Scrub Karne Ka Tarika

Hatho ke liye scrub karna bhi bahut jaruri hai aur scrub natural tarike se bana ho to utna hi jayda accha prabhav padta hai. Natural scrub banane ke liye shakkar mai thoda sa dudh , shahad aur olive oil ko milakar scrub taiyar kar le. Ise karne ke pehle dono hatho ko garam pani mai bhigo le aur bane huye scrub ko hatho par ragad le aur gungune pani se dho le. Scrub aapke hatho se dead cells ko hata dega jisse aapke hath chamak jayenge.
 
Shakkar aur Jaitun Ke Tel Se Banaye Scrub: Shakkar aur jaitun ke tel ko ek sath milakar hatho par halke halke hatho se dono hatho ko ragad le. Isse sari mrit twacha nikal jayegi aur aapki hatho ki twacha mulayam ho jayegi.
 

Nimbu Se Kare Manicure

Nimbu ki chhoti chhoti slice kat kar use garam pani mai dale aur nakhuno ko isme dalkar nimbu ki slice se ragad le. Isse ungliyo ka kalapan bhi chala jayega. Iss kriya ko kam se kam 2 se 4 minute tak kare fir hatho pko ani se nikal le aur towel se ponch le. Manicure Tips ke anusar nimbu ko aap kai tarah se prayog kar sakte hai.
 
Nimbu aur Namak Banaye Aapke Hatho Ko Sundar: Jab bhi aap nimbu se aapki ungliyo ko ragde uske pehle ungliyo par thoda sa namak chidak le aur uske aaspas mrit twacha ko hata de ya fir garam pani mai thoda sa namak dalakar namak nichod le tatha usme karib 5 se 7 minute tak ungliyo ko usme rehne de.
 
Nimbu aur Glycerin Laye Hatho Par Chamak: Aapki twacha sukhi hai to nimbu mai 4 se 5 bund glycerin ki dal de aur ungliyo ko 5 se 7 minute tak usi mai duba rehne de aur mrit twacha ko saaf kar le. Sirf nimbu ka istemal karegi to twacha sukhi ho jayegi isliye glycerin ko milaye.
 
Nimbu Ke Sath Shakkar: Nimbu aapke hatho ki rangat nikharegi aur shakkar aapke hatho par scrub ka kaam karega. Isliye nimbu ke ras mai thodi si shakkar mila kar hatho ka manicure kare.
 

Hatho Ke Liye Buttermilk Manicure

Buttermilk manicure karne ke liye aapko chahiye garam pani, 2 cup malai, vitamin E oil, aadha cup santre ka ras aur brush. Inn sabhi ko ek bartan mai lekar mila le aur hatho par acche se laga le aur kuch der hatho ko sukhne ke bad use dheere dheere se scrub kare. Iske bad garam pani se hath dho le aapke hath chamak uthenge.
 

Lavender Oil Se Banaye Hatho Ko Chamakdar

Gungune pani le aur usme kuch bung lavender oil ki dalakar hatho ko kam se kam 15 minute ke liye usme rehne de aisa karne se hatho ki sari gandgi nikal jayegi aur hatho ki twacha mulayam ho jayegi.
 

Besan aur Dahi Ka Upyog Kare

Besan aur dahi puri twacha ke ye bahut faydemand hota hai. Yeh twacha se tanning hatata hai aur twacha chamak jati hai. Iss paste ko banane ke liye dahi aur besan ko ek sath milaye aur hatho par laga le tatha 15 minute bad hatho ko thande pani se dho le. Yeh hatho ka rang nikharne ke liye accha tarika hai.
 
Manicure Tips in Hindi
 

Malai aur Badam Ka Tel

Badam mai Vitamin E bharpur matra mai hota hai jisse twacha ki jhurriya aur rukhapan khatam hota hai isliye malai mai badam ke tel ki kuch bunde dalkar hatho par par laga le aur kuch der bad halke gungune pani se hatho ko dho le.
 

Anda Bhi Faydemand

Badam tel aur shahad mai mineral aur vitamin hote hai. Ande ke pile safed bhag mai thoda sa shahad aur badam ke tel ki kuch bund dalkar mila le aur mile huye misharan ko hatho par laga kar acche se ragad le isse hatho ki sari mrit koshikaye hat jayegi aur aap saf suthre komal hath payenge.
 

Vaseline Ka Dekhe Kamal

Vaseline aapki twacha ko rukhepan se bachata hai ise kisi bhi tarah ki twacha par lagaya ja sakta hai. Ise lagane se pehle gungune pani se hatho ko dho le aur fir vaseline ko hatho par acche se laga le. Isko raat ko sone se pehle lagaye. Yeh hatho ko komal banane ka sabse accha tarika hai.
 

You may also like:- Nail Care Tips in Hindi, Nakhun ko Banaiye Sundar aur Swasth

 

Malai Ya Ghee

Aaple hath khurdare hai to hatho par thodi si malai ya ghee ko lekar hatho par acche se laga le.  Ek ghante tak rakhne ke bad ise gungune pani se dho le.  Aapke hath naram ko chamkdar ban jayeng.
 

Kheere Ke Ras Kare Hatho Ka Rang Saaf

Kheere ke ras mai kuch bund glycerin aur nimbu ke ras ko ek sath milakar hatho par laga le aur hatho ko gungune pani se dho le hatho ki twacha ka rang saaf ho jayega. Garmiyo ke dino ke liye yeh accha vikalp hai.
 

Udad Dal Ka Banaye Pack

Udad dal ko raat mai bhigo de aur subah ise pees kar thodi haldi milakar paste bana le. Ise hatho par lagaye aur kam se kam 15 se 20 minute bad ise ragad le aur hatho ko gungune pani se dho kar towel se ponch le. Aap dekhenge ki hatho ki tanning khatam ho gai hai.
 

Tamatar Ka Pack

Tamatar ke guda nikal kar usme thoda sa nimbu ka ras aur chawal ka aata milakar laga le aur use sukhne de. Kuch der bad hatho ko thande pani se dho le. Aapke hatho ki sari gandagi saaf ho jayegi aur aap payenge saaf suthre hath.
 
Upar aapne jana Manicure at Home in Hindi. Yadi aap bhi chahti hai ki aapke hath komal aur sundar dikhe to upar diye gaye tariko ko aap ghar baithe apna sakti hai.

Loading...

You may also like...